fikr hai maah ke jo shahr-badar karne ki | फ़िक्र है माह के जो शहर-बदर करने की

  - Meer Taqi Meer

fikr hai maah ke jo shahr-badar karne ki
hai saza tujh pe ye gustaakh nazar karne ki

kah hadees aane ki us ke jo kiya shaadi marg
nama-bar kya chali thi ham ko khabar karne ki

kya jali jaati hai khoobi hi mein apni ai sham'a
kah patange ke bhi kuchh shaam-o-sehar karne ki

ab ke barsaat hi ke zimme tha aalam ka vabaal
main to khaai thi qasam chashm ke tar karne ki

phool kuchh lete na nikle the dil-e-sad-paara
tarz seekhi hai mere tukde jigar karne ki

un dinon nikle hai aaghoshta b-khoon raaton ko
dhun hai naale ko kaso dil mein asar karne ki

ishq mein tere guzarti nahin bin sar patke
soorat ik ye rahi hai umr basar karne ki

kaarvaani hai jahaan umr aziz apni meer
rah hai darpaish sada us ko safar karne ki

फ़िक्र है माह के जो शहर-बदर करने की
है सज़ा तुझ पे ये गुस्ताख़ नज़र करने की

कह हदीस आने की उस के जो किया शादी मर्ग
नामा-बर क्या चली थी हम को ख़बर करने की

क्या जली जाती है ख़ूबी ही में अपनी ऐ शम्अ'
कह पतंगे के भी कुछ शाम-ओ-सहर करने की

अब के बरसात ही के ज़िम्मे था आलम का वबाल
मैं तो खाई थी क़सम चश्म के तर करने की

फूल कुछ लेते न निकले थे दिल-ए-सद-पारा
तर्ज़ सीखी है मिरे टुकड़े जिगर करने की

उन दिनों निकले है आग़ुश्ता ब-ख़ूँ रातों को
धुन है नाले को कसो दिल में असर करने की

इश्क़ में तेरे गुज़रती नहीं बिन सर पटके
सूरत इक ये रही है उम्र बसर करने की

कारवानी है जहाँ उम्र अज़ीज़ अपनी 'मीर'
रह है दरपेश सदा उस को सफ़र करने की

  - Meer Taqi Meer

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari