lazzat se nahin khaali jaanon ka khapa jaana | लज़्ज़त से नहीं ख़ाली जानों का खपा जाना - Meer Taqi Meer

lazzat se nahin khaali jaanon ka khapa jaana
kab khizr o maseeha ne marne ka maza jaana

hum jaah-o-hashm yaa ka kya kahiye ki kya jaana
khaatim ko sulaimaan ki angushtar-e-pa jaana

ye bhi hai ada koi khurshid namat pyaare
munh subh dikha jaana phir shaam chhupa jaana

kab bandagi meri si banda karega koi
jaane hai khuda us ko main tujh ko khuda jaana

tha naaz bahut hum ko daanisht par apni bhi
aakhir vo bura nikla hum jis ko bhala jaana

gardan-kashi kya haasil maanind bagule ki
is dasht mein sar gaade jun sail chala jaana

is giryaa-e-khoonin ka ho zabt to behtar hai
achha nahin chehre par lohoo ka baha jaana

ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko
aashiq ke huqooq aa kar naahak bhi mita jaana

dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha
jaate to ho par hum se tuk aankh mila jaana

us sham'a ki majlis mein jaana humein phir waan se
ik zakhm-e-zabaan taaza har roz utha jaana

ai shor-e-qayaamat hum sote hi na rah jaaven
is raah se nikle to hum ko bhi jaga jaana

kya paani ke mol aa kar maalik ne guhar becha
hai sakht giran sasta yusuf ka bika jaana

hai meri tiri nisbat rooh aur jasd ki si
kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana

jaati hai guzar jee par us waqt qayamat si
yaad aave hai jab tera yak-baargi aa jaana

barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat
teg us ko uthaana to sar mujh ko jhuka jaana

kab meer basar aaye tum vaise farebi se
dil ko to laga baithe lekin na laga jaana

लज़्ज़त से नहीं ख़ाली जानों का खपा जाना
कब ख़िज़्र ओ मसीहा ने मरने का मज़ा जाना

हम जाह-ओ-हशम याँ का क्या कहिए कि क्या जाना
ख़ातिम को सुलैमाँ की अंगुश्तर-ए-पा जाना

ये भी है अदा कोई ख़ुर्शीद नमत प्यारे
मुँह सुब्ह दिखा जाना फिर शाम छुपा जाना

कब बंदगी मेरी सी बंदा करेगा कोई
जाने है ख़ुदा उस को मैं तुझ को ख़ुदा जाना

था नाज़ बहुत हम को दानिस्त पर अपनी भी
आख़िर वो बुरा निकला हम जिस को भला जाना

गर्दन-कशी क्या हासिल मानिंद बगूले की
इस दश्त में सर गाड़े जूँ सैल चला जाना

इस गिर्या-ए-ख़ूनीं का हो ज़ब्त तो बेहतर है
अच्छा नहीं चेहरे पर लोहू का बहा जाना

ये नक़्श दिलों पर से जाने का नहीं उस को
आशिक़ के हुक़ूक़ आ कर नाहक़ भी मिटा जाना

ढब देखने का ईधर ऐसा ही तुम्हारा था
जाते तो हो पर हम से टुक आँख मिला जाना

उस शम्अ की मज्लिस में जाना हमें फिर वाँ से
इक ज़ख़्म-ए-ज़बाँ ताज़ा हर रोज़ उठा जाना

ऐ शोर-ए-क़यामत हम सोते ही न रह जावें
इस राह से निकले तो हम को भी जगा जाना

क्या पानी के मोल आ कर मालिक ने गुहर बेचा
है सख़्त गिराँ सस्ता यूसुफ़ का बिका जाना

है मेरी तिरी निस्बत रूह और जसद की सी
कब आप से मैं तुझ को ऐ जान जुदा जाना

जाती है गुज़र जी पर उस वक़्त क़यामत सी
याद आवे है जब तेरा यक-बारगी आ जाना

बरसों से मिरे उस की रहती है यही सोहबत
तेग़ उस को उठाना तो सर मुझ को झुका जाना

कब 'मीर' बसर आए तुम वैसे फ़रेबी से
दिल को तो लगा बैठे लेकिन न लगा जाना

- Meer Taqi Meer
2 Likes

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari