qaraar dil ka ye kahe ko dhang tha aage
hamaare chehre ke oopar bhi rang tha aage
uthaaye tere liye bad-zabaaniyaan un ki
jinhon ki ham ko khushamad se nang tha aage
hamaari aahon se seene pe ho gaya bazaar
har ek zakham ka koocha jo tang tha aage
raha tha sham'a se majlis mein dosh kitna farq
ki jal bujhe the ye ham par patang tha aage
kiya kharab taghaaful ne us ke warna meer
har ek baat pe dushnaam-o-sang tha aage
क़रार दिल का ये काहे को ढंग था आगे
हमारे चेहरे के ऊपर भी रंग था आगे
उठाएँ तेरे लिए बद-ज़बानियाँ उन की
जिन्हों की हम को ख़ुशामद से नंग था आगे
हमारी आहों से सीने पे हो गया बाज़ार
हर एक ज़ख़्म का कूचा जो तंग था आगे
रहा था शम्अ' से मज्लिस में दोष कितना फ़र्क़
कि जल बुझे थे ये हम पर पतंग था आगे
किया ख़राब तग़ाफ़ुल ने उस के वर्ना 'मीर'
हर एक बात पे दुश्नाम-ओ-संग था आगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Paani Shayari Shayari