shehar se yaar sawaar hua jo savaad mein khoob ghubaar hai aaj | शहर से यार सवार हुआ जो सवाद में ख़ूब ग़ुबार है आज - Meer Taqi Meer

shehar se yaar sawaar hua jo savaad mein khoob ghubaar hai aaj
dashti wahsh o tair us ke sar tezi hi mein shikaar hai aaj

barfrokhhta rukh hai us ka kis khoobi se masti mein
pee ke sharaab shagufta hua hai us nau-gul pe bahaar hai aaj

us ka bahr-e-husn saraasar auj o mauj o talaatum hai
shauq ki apne nigaah jahaan tak jaave bos-o-kinaar hai aaj

aankhen us ki laal hui hain aur chale jaate hain sar
raat ko daaru pee soya tha us ka subh khumaar hai aaj

ghar aaye ho faqeeron ke to aao baitho lutf karo
kya hai jaan bin apne kane so in qadmon pe nisaar hai aaj

kya poocho ho saanjh talak pahluu mein kya kya tadpa hai
kal ki nisbat dil ko hamaare baare kuchh to qaraar hai aaj

khoob jo aankhen khol ke dekha shaakh-e-gul sa nazar aaya
un rangon phoolon mein mila kuchh mahv-e-jalwa-e-yaar hai aaj

jazb-e-ishq jidhar chahe le jaaye hai mahmil leila ka
yaani haath mein majnoon ke naqe ki us ke mahaar hai aaj

raat ka pahna haar jo ab tak din ko utaara un ne nahin
shaayad meer jamaal-e-gul bhi us ke gale ka haar hai aaj

शहर से यार सवार हुआ जो सवाद में ख़ूब ग़ुबार है आज
दश्ती वहश ओ तैर उस के सर तेज़ी ही में शिकार है आज

बरफ़रोख़्ता रुख़ है उस का किस ख़ूबी से मस्ती में
पी के शराब शगुफ़्ता हुआ है उस नौ-गुल पे बहार है आज

उस का बहर-ए-हुस्न सरासर औज ओ मौज ओ तलातुम है
शौक़ की अपने निगाह जहाँ तक जावे बोस-ओ-कनार है आज

आँखें उस की लाल हुईं हैं और चले जाते हैं सर
रात को दारू पी सोया था उस का सुब्ह ख़ुमार है आज

घर आए हो फ़क़ीरों के तो आओ बैठो लुत्फ़ करो
क्या है जान बिन अपने कने सो इन क़दमों पे निसार है आज

क्या पूछो हो साँझ तलक पहलू में क्या क्या तड़पा है
कल की निस्बत दिल को हमारे बारे कुछ तो क़रार है आज

ख़ूब जो आँखें खोल के देखा शाख़-ए-गुल सा नज़र आया
उन रंगों फूलों में मिला कुछ महव-ए-जल्वा-ए-यार है आज

जज़्ब-ए-इश्क़ जिधर चाहे ले जाए है महमिल लैला का
यानी हाथ में मजनूँ के नाक़े की उस के महार है आज

रात का पहना हार जो अब तक दिन को उतारा उन ने नहीं
शायद 'मीर' जमाल-ए-गुल भी उस के गले का हार है आज

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari