kahte hain bahaar aayi gul phool nikalte hain | कहते हैं बहार आई गुल फूल निकलते हैं

  - Meer Taqi Meer

kahte hain bahaar aayi gul phool nikalte hain
ham kunj-e-qafas mein hain dil seenon mein jalte hain

ab ek si be-hoshi rahti nahin hai ham ko
kuchh dil bhi sambhalte hain par der sambhalte hain

vo to nahin ik chheenta rone ka hua gahe
ab deeda-e-tar akshar dariya se ubalte hain

un paanv ko aankhon se ham malte rahe jaisa
afsos se haathon ko ab waisa hi malte hain

kya kahiye ki a'zaa sab paani hue hain apne
ham aatish-e-hijraan mein yun hi pade galte hain

karte hain sifat jab ham laal-e-lab-e-jaanaan ki
tab koi hamein dekhe kya laal ugalte hain

gul phool se bhi apne dil to nahin lagte tuk
jee logon ke bejaanaan kis taur bahalte hain

hain narm sanam go na kehne ke tai warna
patthar hain unhon ke dil kahe ko pighalte hain

ai garm-e-safar yaaraan jo hai so sar-e-rah hai
jo rah sako rah jaao ab meer bhi chalte hain

कहते हैं बहार आई गुल फूल निकलते हैं
हम कुंज-ए-क़फ़स में हैं दिल सीनों में जलते हैं

अब एक सी बे-होशी रहती नहीं है हम को
कुछ दिल भी सँभलते हैं पर देर सँभलते हैं

वो तो नहीं इक छींटा रोने का हुआ गाहे
अब दीदा-ए-तर अक्सर दरिया से उबलते हैं

उन पाँव को आँखों से हम मलते रहे जैसा
अफ़्सोस से हाथों को अब वैसा ही मलते हैं

क्या कहिए कि आ'ज़ा सब पानी हुए हैं अपने
हम आतिश-ए-हिज्राँ में यूँ ही पड़े गलते हैं

करते हैं सिफ़त जब हम लाल-ए-लब-ए-जानाँ की
तब कोई हमें देखे क्या ला'ल उगलते हैं

गुल फूल से भी अपने दिल तो नहीं लगते टुक
जी लोगों के बेजानाँ किस तौर बहलते हैं

हैं नर्म सनम गो न कहने के तईं वर्ना
पत्थर हैं उन्हों के दिल काहे को पिघलते हैं

ऐ गर्म-ए-सफ़र याराँ जो है सो सर-ए-रह है
जो रह सको रह जाओ अब 'मीर' भी चलते हैं

  - Meer Taqi Meer

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari