shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka | शिकवा करूँ मैं कब तक उस अपने मेहरबाँ का

  - Meer Taqi Meer

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka
al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaan ka

girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad
khun ho gaya jigar mein ab daagh gulsitaan ka

le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote
jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka

di aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko
yaa ham jale qafas mein sun haal aashiyaan ka

har subh mere sar par ik haadisa naya hai
paivand ho zameen ka sheva is aasmaan ka

in said-afganoon ka kya ho shikaar koi
hota nahin hai aakhir kaam un ke imtihaan ka

tab to mujhe kiya tha teeron se said apna
ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka

fitraak jis ka akshar lohoo mein tar rahe hai
vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka

kam-fursati jahaan ke majme ki kuchh na poocho
ahvaal kya kahoon main is majlis-e-ravaan ka

sajda karein hain sun kar obaash saare us ko
sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka

na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar
taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka

hain dasht ab ye jeete baste the shehar saare
veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka

jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyo
us roz se jahaan mein khurshid phir na jhaanka

na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare
hai kaun si jagah ka kis shehar ka kahaan ka

saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq mein pa
sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka

sau gaali ek chashmak itna sulook to hai
obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka

ya roye ya rulaaya apni to yun hi guzri
kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka

qaid-e-qafas mein hain to khidmat hai naalgi ki
gulshan mein the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka

poocho to meer se kya koi nazar pada hai
chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

शिकवा करूँ मैं कब तक उस अपने मेहरबाँ का
अल-क़िस्सा रफ़्ता रफ़्ता दुश्मन हुआ है जाँ का

गिर्ये पे रंग आया क़ैद-ए-क़फ़स से शायद
ख़ूँ हो गया जिगर में अब दाग़ गुल्सिताँ का

ले झाड़ू टोकरा ही आता है सुबह होते
जारूब-कश मगर है ख़ुर्शीद उस के हाँ का

दी आग रंग-ए-गुल ने वाँ ऐ सबा चमन को
याँ हम जले क़फ़स में सुन हाल आशियाँ का

हर सुब्ह मेरे सर पर इक हादिसा नया है
पैवंद हो ज़मीं का शेवा इस आसमाँ का

इन सैद-अफ़गनों का क्या हो शिकार कोई
होता नहीं है आख़िर काम उन के इम्तिहाँ का

तब तो मुझे किया था तीरों से सैद अपना
अब करते हैं निशाना हर मेरे उस्तुख़्वाँ का

फ़ितराक जिस का अक्सर लोहू में तर रहे है
वो क़स्द कब करे है इस सैद-ए-नातवाँ का

कम-फ़ुर्सती जहाँ के मजमे' की कुछ न पूछो
अहवाल क्या कहूँ मैं इस मजलिस-ए-रवाँ का

सज्दा करें हैं सुन कर औबाश सारे उस को
सय्यद पिसर वो प्यारा हैगा इमाम बाँका

ना-हक़ शनासी है ये ज़ाहिद न कर बराबर
ताअ'त से सौ बरस की सज्दा उस आस्ताँ का

हैं दश्त अब ये जीते बस्ते थे शहर सारे
वीरान-ए-कुहन है मामूरा इस जहाँ का

जिस दिन कि उस के मुँह से बुर्क़ा उठेगा सुनियो
उस रोज़ से जहाँ में ख़ुर्शीद फिर न झाँका

ना-हक़ ये ज़ुल्म करना इंसाफ़ कह पियारे
है कौन सी जगह का किस शहर का कहाँ का

सौदाई हो तो रक्खे बाज़ार-ए-इश्क़ में पा
सर मुफ़्त बेचते हैं ये कुछ चलन है वाँ का

सौ गाली एक चश्मक इतना सुलूक तो है
औबाश ख़ाना जंग उस ख़ुश-चश्म बद-ज़बाँ का

या रोए या रुलाया अपनी तो यूँ ही गुज़री
क्या ज़िक्र हम-सफ़ीराँ यारान-ए-शादमाँ का

क़ैद-ए-क़फ़स में हैं तो ख़िदमत है नालगी की
गुलशन में थे तो हम को मंसब था रौज़ा-ख़्वाँ का

पूछो तो 'मीर' से क्या कोई नज़र पड़ा है
चेहरा उतर रहा है कुछ आज उस जवाँ का

  - Meer Taqi Meer

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari