zabaan rakh guncha saan apne dehan mein
bandhi mutthi chala ja is chaman mein
na khol ai yaar mera gor mein munh
ki hasrat hai meri jaaga kafan mein
rakha kar haath dil par aah karte
nahin rehta charaagh aisi pavan mein
jale dil ki museebat apne sun kar
lagi hai aag saare tan badan mein
na tujh bin hosh mein ham aaye saaqi
musaafir hi rahe akshar watan mein
khird-mandi hui zanjeer warna
guzarti khoob thi deewana-pan mein
kahaan ke sham-o-parwaane gaye mar
bahut aatash-bajaan the is chaman mein
kahaan aziz-sukhan qaadir-sukhan hoon
hamein hai shubh yaaron ke sukhun mein
gudaaz ishq mein b bhi gaya meer
yahi dhoka sa hai ab pairhan mein
ज़बाँ रख ग़ुंचा साँ अपने दहन में
बंधी मुट्ठी चला जा इस चमन में
न खोल ऐ यार मेरा गोर में मुँह
कि हसरत है मिरी जागा कफ़न में
रखा कर हाथ दिल पर आह करते
नहीं रहता चराग़ ऐसी पवन में
जले दिल की मुसीबत अपने सुन कर
लगी है आग सारे तन बदन में
न तुझ बिन होश में हम आए साक़ी
मुसाफ़िर ही रहे अक्सर वतन में
ख़िरद-मंदी हुई ज़ंजीर वर्ना
गुज़रती ख़ूब थी दीवाना-पन में
कहाँ के शम-ओ-परवाने गए मर
बहुत आतश-बजाँ थे इस चमन में
कहाँ आजिज़-सुख़न क़ादिर-सुख़न हूँ
हमें है शुबह यारों के सुख़न में
गुदाज़ इश्क़ में ब भी गया 'मीर'
यही धोका सा है अब पैरहन में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aah Shayari Shayari