us ka khayal chashm se shab khwaab le gaya
qasme ki ishq jee se mere taab le gaya
kin neendon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-naak
mizgaan to khol shehar ko sailaab le gaya
aave jo mastaba mein to sun lo ki raah se
waiz ko ek jaam-e-may-e-naab le gaya
ne dil raha baja hai na sabr o hawas o hosh
aaya jo sail-e-ishq sab asbaab le gaya
mere huzoor sham'a ne giryaa jo sar kiya
roya main is qadar ki mujhe aab le gaya
ahvaal us shikaar zuboon ka hai jaaye rehm
jis na-tawan ko muft na qassaab le gaya
munh ki jhalak se yaar ke behosh ho gaye
shab ham ko meer paratav-e-mehtaab le gaya
उस का ख़याल चश्म से शब ख़्वाब ले गया
क़स्मे कि इश्क़ जी से मिरे ताब ले गया
किन नींदों अब तू सोती है ऐ चश्म-ए-गिर्या-नाक
मिज़्गाँ तो खोल शहर को सैलाब ले गया
आवे जो मस्तबा में तो सुन लो कि राह से
वाइज़ को एक जाम-ए-मय-ए-नाब ले गया
ने दिल रहा बजा है न सब्र ओ हवास ओ होश
आया जो सैल-ए-इश्क़ सब अस्बाब ले गया
मेरे हुज़ूर शम्अ ने गिर्या जो सर किया
रोया मैं इस क़दर कि मुझे आब ले गया
अहवाल उस शिकार ज़ुबूँ का है जाए रहम
जिस ना-तवाँ को मुफ़्त न क़स्साब ले गया
मुँह की झलक से यार के बेहोश हो गए
शब हम को 'मीर' परतव-ए-महताब ले गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aankhein Shayari Shayari