dil se tiri nigaah jigar tak utar gai | दिल से तिरी निगाह जिगर तक उतर गई - Mirza Ghalib

dil se tiri nigaah jigar tak utar gai
dono ko ik ada mein raza-mand kar gai

shak ho gaya hai seena khusa lazzat-e-faraagh
takleef-e-parda-daari-e-zakhm-e-jigar gai

vo baada-e-shabaana ki sarmastiyaan kahaan
uthiye bas ab ki lazzat-e-khwaab-e-sehr gai

udti phire hai khaak meri ku-e-yaar mein
baare ab ai hawa hawas-e-baal-o-par gai

dekho to dil-farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa
mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kya gul katar gai

har bul-hawas ne husn-parasti shi'aar ki
ab aabroo-e-shewa-e-ahl-e-nazar gai

nazzare ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
masti se har nigaah tire rukh par bikhar gai

farda o di ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ki hum pe qayamat guzar gai

maara zamaane ne asadullah khan tumhein
vo valvale kahaan vo jawaani kidhar gai

दिल से तिरी निगाह जिगर तक उतर गई
दोनों को इक अदा में रज़ा-मंद कर गई

शक़ हो गया है सीना ख़ुशा लज़्ज़त-ए-फ़राग़
तकलीफ़-ए-पर्दा-दारी-ए-ज़ख़्म-ए-जिगर गई

वो बादा-ए-शबाना की सरमस्तियाँ कहाँ
उठिए बस अब कि लज़्ज़त-ए-ख़्वाब-ए-सहर गई

उड़ती फिरे है ख़ाक मिरी कू-ए-यार में
बारे अब ऐ हवा हवस-ए-बाल-ओ-पर गई

देखो तो दिल-फ़रेबी-ए-अंदाज़-ए-नक़्श-ए-पा
मौज-ए-ख़िराम-ए-यार भी क्या गुल कतर गई

हर बुल-हवस ने हुस्न-परस्ती शिआ'र की
अब आबरू-ए-शेवा-ए-अहल-ए-नज़र गई

नज़्ज़ारे ने भी काम किया वाँ नक़ाब का
मस्ती से हर निगह तिरे रुख़ पर बिखर गई

फ़र्दा ओ दी का तफ़रक़ा यक बार मिट गया
कल तुम गए कि हम पे क़यामत गुज़र गई

मारा ज़माने ने असदुल्लाह ख़ाँ तुम्हें
वो वलवले कहाँ वो जवानी किधर गई

- Mirza Ghalib
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari