main unhen chhedu aur kuchh na kahein
chal nikalte jo may piye hote
qahar ho ya bala ho jo kuchh ho
kaash ke tum mere liye hote
meri qismat mein gham gar itna tha
dil bhi ya-rab kai diye hote
aa hi jaata vo raah par ghalib
koi din aur bhi jiye hote
मैं उन्हें छेड़ूँ और कुछ न कहें
चल निकलते जो मय पिए होते
क़हर हो या बला हो जो कुछ हो
काश के तुम मिरे लिए होते
मेरी क़िस्मत में ग़म गर इतना था
दिल भी या-रब कई दिए होते
आ ही जाता वो राह पर 'ग़ालिब'
कोई दिन और भी जिए होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Dil Shayari Shayari