jo na naqd-e-daag-e-dil ki kare shola paasbaani | जो न नक़्द-ए-दाग़-ए-दिल की करे शोला पासबानी

  - Mirza Ghalib

jo na naqd-e-daag-e-dil ki kare shola paasbaani
to fasuregi nihaan hai ba-kameen-e-be-zabaani

mujhe us se kya tavakko ba-zaana-e-jawaani
kabhi koodaki mein jis ne na sooni meri kahaani

yun hi dukh kisi ko dena nahin khoob warna kehta
ki mere adoo ko ya rab mile meri zindagaani

जो न नक़्द-ए-दाग़-ए-दिल की करे शोला पासबानी
तो फ़सुर्दगी निहाँ है ब-कमीन-ए-बे-ज़बानी

मुझे उस से क्या तवक़्क़ो ब-ज़माना-ए-जवानी
कभी कूदकी में जिस ने न सुनी मिरी कहानी

यूँ ही दुख किसी को देना नहीं ख़ूब वर्ना कहता
कि मिरे अदू को या रब मिले मेरी ज़िंदगानी

  - Mirza Ghalib

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari