kaar-gaah-e-hasti mein lala daagh-samaan hai | कार-गाह-ए-हस्ती में लाला दाग़-सामाँ है

  - Mirza Ghalib

kaar-gaah-e-hasti mein lala daagh-samaan hai
barq-e-khirman-e-raahat khoon-e-garm-e-dehqaan hai

guncha ta shaguftan-ha barg-e-aafiyat maaloom
baa-wajood-e-dil-jamaai khwaab-e-gul pareshaan hai

ham se ranj-e-betaabi kis tarah uthaya jaaye
daagh pusht-e-dast-e-izz shola khas-b-dandaan hai

ishq ke taghaaful se harzaa-gard hai aalam
roo-e-shash-jihat-aafaq pusht-e-chashm-e-zindaan hai

कार-गाह-ए-हस्ती में लाला दाग़-सामाँ है
बर्क़-ए-ख़िर्मन-ए-राहत ख़ून-ए-गर्म-ए-दहक़ाँ है

ग़ुंचा ता शगुफ़्तन-हा बर्ग-ए-आफ़ियत मालूम
बा-वजूद-ए-दिल-जमई ख़्वाब-ए-गुल परेशाँ है

हम से रंज-ए-बेताबी किस तरह उठाया जाए
दाग़ पुश्त-ए-दस्त-ए-इज्ज़ शो'ला ख़स-ब-दंदाँ है

इश्क़ के तग़ाफ़ुल से हर्ज़ा-गर्द है आलम
रू-ए-शश-जिहत-आफ़ाक़ पुश्त-ए-चश्म-ए-ज़िन्दाँ है

  - Mirza Ghalib

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari