kyun na ho chashm-e-butaan mahv-e-taghaful kyun na ho
ya'ni us beemaar ko nazzare se parhez hai
marte marte dekhne ki aarzoo rah jaayegi
waaye naakaami ki us kaafir ka khanjar tez hai
aariz-e-gul dekh roo-e-yaar yaad aaya asad
joshish-e-fasl-e-bahaari ishtiyaq-angez hai
क्यूँ न हो चश्म-ए-बुताँ महव-ए-तग़ाफ़ुल क्यूँ न हो
या'नी उस बीमार को नज़्ज़ारे से परहेज़ है
मरते मरते देखने की आरज़ू रह जाएगी
वाए नाकामी कि उस काफ़िर का ख़ंजर तेज़ है
आरिज़-ए-गुल देख रू-ए-यार याद आया 'असद'
जोशिश-ए-फ़स्ल-ए-बहारी इश्तियाक़-अंगेज़ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari