naala juz husn-e-talab ai sitam-iijaad nahin | नाला जुज़ हुस्न-ए-तलब ऐ सितम-ईजाद नहीं

  - Mirza Ghalib

naala juz husn-e-talab ai sitam-iijaad nahin
hai taqaza-e-jafa shikwa-e-bedaad nahin

ishq-o-mazdoori-e-ishratgah-e-khusraw kya khoob
ham ko tasleem niko-naami-e-farhaad nahin

kam nahin vo bhi kharaabi mein p wus'at maaloom
dasht mein hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahin

ahl-e-beenash ko hai toofaan-e-haawadis khushhaali
lutma-e-mauj kam-az sailee-e-ustaad nahin

waaye mahroomi-e-tasleem-o-bada haal-e-wafa
jaanta hai ki hamein taqat-e-faryaad nahin

rang-e-tamkeen-e-gul-o-laala pareshaan kyun hai
gar charaaghaan-e-sar-e-rah-guzar-e-baad nahin

sabd-e-gul ke tale band kare hai gulchein
muzda ai murgh ki gulzaar mein sayyaad nahin

nafy se karti hai isbaat taraavish goya
di hai jaa-e-dehan us ko dam-e-eejaad nahin

kam nahin jalwagari mein tire kooche se behisht
yahi naqsha hai wale is qadar aabaad nahin

karte kis munh se ho gurbat ki shikaayat ghalib
tum ko be-mehri-e-yaaraan-e-watan yaad nahin

नाला जुज़ हुस्न-ए-तलब ऐ सितम-ईजाद नहीं
है तक़ाज़ा-ए-जफ़ा शिकवा-ए-बेदाद नहीं

इश्क़-ओ-मज़दूरी-ए-इशरत-गह-ए-ख़ुसरव क्या ख़ूब
हम को तस्लीम निको-नामी-ए-फ़रहाद नहीं

कम नहीं वो भी ख़राबी में प वुसअत मालूम
दश्त में है मुझे वो ऐश कि घर याद नहीं

अहल-ए-बीनश को है तूफ़ान-ए-हवादिस मकतब
लुत्मा-ए-मौज कम-अज़ सैली-ए-उस्ताद नहीं

वाए महरूमी-ए-तस्लीम-ओ-बदा हाल-ए-वफ़ा
जानता है कि हमें ताक़त-ए-फ़रयाद नहीं

रंग-ए-तमकीन-ए-गुल-ओ-लाला परेशाँ क्यूँ है
गर चराग़ान-ए-सर-ए-रह-गुज़र-ए-बाद नहीं

सबद-ए-गुल के तले बंद करे है गुलचीं
मुज़्दा ऐ मुर्ग़ कि गुलज़ार में सय्याद नहीं

नफ़्य से करती है इसबात तराविश गोया
दी है जा-ए-दहन उस को दम-ए-ईजाद नहीं

कम नहीं जल्वागरी में तिरे कूचे से बहिश्त
यही नक़्शा है वले इस क़दर आबाद नहीं

करते किस मुँह से हो ग़ुर्बत की शिकायत 'ग़ालिब'
तुम को बे-मेहरी-ए-यारान-ए-वतन याद नहीं

  - Mirza Ghalib

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari