nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqaad nahin | नहीं कि मुझ को क़यामत का ए'तिक़ाद नहीं

  - Mirza Ghalib

nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqaad nahin
shab-e-firaq se roz-e-jazaa ziyaad nahin

koi kahe ki shab-e-mah mein kya buraai hai
bala se aaj agar din ko abr o baad nahin

jo aaun saamne un ke to marhaba na kahein
jo jaaun waan se kahi ko to khair-baad nahin

kabhi jo yaad bhi aata hoon main to kahte hain
ki aaj bazm mein kuchh fitna-o-fasaad nahin

alaava eed ke milti hai aur din bhi sharaab
gada-e-kooch-e-may-khaana na-muraad nahin

jahaan mein ho gham-e-shaadi bahm hamein kya kaam
diya hai ham ko khuda ne vo dil ki shaad nahin

tum un ke wa'de ka zikr un se kyun karo ghalib
ye kya ki tum kaho aur vo kahein ki yaad nahin

नहीं कि मुझ को क़यामत का ए'तिक़ाद नहीं
शब-ए-फ़िराक़ से रोज़-ए-जज़ा ज़ियाद नहीं

कोई कहे कि शब-ए-मह में क्या बुराई है
बला से आज अगर दिन को अब्र ओ बाद नहीं

जो आऊँ सामने उन के तो मर्हबा न कहें
जो जाऊँ वाँ से कहीं को तो ख़ैर-बाद नहीं

कभी जो याद भी आता हूँ मैं तो कहते हैं
कि आज बज़्म में कुछ फ़ित्ना-ओ-फ़साद नहीं

अलावा ईद के मिलती है और दिन भी शराब
गदा-ए-कूच-ए-मय-ख़ाना ना-मुराद नहीं

जहाँ में हो ग़म-ए-शादी बहम हमें क्या काम
दिया है हम को ख़ुदा ने वो दिल की शाद नहीं

तुम उन के वा'दे का ज़िक्र उन से क्यूँ करो 'ग़ालिब'
ये क्या कि तुम कहो और वो कहें कि याद नहीं

  - Mirza Ghalib

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari