paa-b-daaman ho raha hoon bas-ki main sahra-navard | पा-ब-दामन हो रहा हूँ बस-कि मैं सहरा-नवर्द

  - Mirza Ghalib

paa-b-daaman ho raha hoon bas-ki main sahra-navard
khaar-e-paa hain jauhar-e-aaina-e-zaanoo mujhe

dekhna haalat mere dil ki hum-aagoshi ke waqt
hai nigaah-e-aashna tera sar-e-har-moo mujhe

hoon saraapa saaz-e-aahang-e-shikaayat kuchh na pooch
hai yahi behtar ki logon mein na chhede tu mujhe

baais-e-vaamaandagi hai umr-e-fursat-joo mujhe
kar diya hai paa-b-zanjeer-e-ram-e-aahoo mujhe

khaak-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fanaa ai intizaar
hai ghubaar-e-sheesha-e-saa'at ram-e-aahu mujhe

ham-zabaan aaya nazar fikr-e-sukhan mein tu mujhe
mardumak hai tooti-e-aaina-e-zaanoo mujhe

yaad-e-mizgaan mein b-nashtar-e-zaar-e-sauda-e-khyaal
chahiye waqt-e-tapish yak-dast sad-pehlu mujhe

iztiraab-e-umr be-matlab nahin aakhir ki hai
justujoo-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zaanoo mujhe

chahiye darmaan-e-reesh-e-dil bhi tegh-e-yaar se
maram-e-zangaar hai vo wasmaa-e-abroo mujhe

kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya hoon be-dimaagh
khoob-ruyon ne banaya ghaleb-e-bad-khoo mujhe

fursat-e-aaraam-e-ghash hasti hai bohraan-e-adam
hai shikast-e-rang-e-imkaan gardish-e-pehlu mujhe

saaz-e-eema-e-fanaa hai aalam-e-peeri asad
qaamat-e-kham se hai haasil shokhi-e-abroo mujhe

पा-ब-दामन हो रहा हूँ बस-कि मैं सहरा-नवर्द
ख़ार-ए-पा हैं जौहर-ए-आईना-ए-ज़ानू मुझे

देखना हालत मिरे दिल की हम-आग़ोशी के वक़्त
है निगाह-ए-आश्ना तेरा सर-ए-हर-मू मुझे

हूँ सरापा साज़-ए-आहंग-ए-शिकायत कुछ न पूछ
है यही बेहतर कि लोगों में न छेड़े तू मुझे

बाइस-ए-वामांदगी है उम्र-ए-फ़ुर्सत-जू मुझे
कर दिया है पा-ब-ज़ंजीर-ए-रम-ए-आहू मुझे

ख़ाक-ए-फ़ुर्सत बर-सर-ए-ज़ौक़-ए-फ़ना ऐ इंतिज़ार
है ग़ुबार-ए-शीशा-ए-साअत रम-ए-आहू मुझे

हम-ज़बाँ आया नज़र फ़िक्र-ए-सुख़न में तू मुझे
मर्दुमुक है तूती-ए-आईना-ए-ज़ानू मुझे

याद-ए-मिज़्गाँ में ब-नश्तर-ए-ज़ार-ए-सौदा-ए-ख़याल
चाहिए वक़्त-ए-तपिश यक-दस्त सद-पहलू मुझे

इज़्तिराब-ए-उम्र बे-मतलब नहीं आख़िर कि है
जुसतुजू-ए-फ़ुर्सत-ए-रब्त-ए-सर-ए-ज़ानू मुझे

चाहिए दरमान-ए-रीश-ए-दिल भी तेग़-ए-यार से
मरम-ए-ज़ंगार है वो वसमा-ए-अबरू मुझे

कसरत-ए-जौर-ओ-सितम से हो गया हूँ बे-दिमाग़
ख़ूब-रूयों ने बनाया 'ग़ालिब'-ए-बद-ख़ू मुझे

फ़ुर्सत-ए-आराम-ए-ग़श हस्ती है बोहरान-ए-अदम
है शिकस्त-ए-रंग-ए-इम्काँ गर्दिश-ए-पहलू मुझे

साज़-ए-ईमा-ए-फ़ना है आलम-ए-पीरी 'असद'
क़ामत-ए-ख़म से है हासिल शोख़ी-ए-अबरू मुझे

  - Mirza Ghalib

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari