rahiye ab aisi jagah chal kar jahaan koi na ho
hum-sukhan koi na ho aur ham-zabaan koi na ho
be-dar-o-deewaar sa ik ghar banaya chahiye
koi ham-saaya na ho aur paasbaan koi na ho
padiye gar beemaar to koi na ho teemaardaar
aur agar mar jaaie to nauha-khwaan koi na ho
रहिए अब ऐसी जगह चल कर जहाँ कोई न हो
हम-सुख़न कोई न हो और हम-ज़बाँ कोई न हो
बे-दर-ओ-दीवार सा इक घर बनाया चाहिए
कोई हम-साया न हो और पासबाँ कोई न हो
पड़िए गर बीमार तो कोई न हो तीमारदार
और अगर मर जाइए तो नौहा-ख़्वाँ कोई न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Duniya Shayari Shayari