seemaab-pusht garmi-e-aaina de hai ham
hairaan kiye hue hain dil-e-be-qaraar ke
aaghosh-e-gul kushooda bara-e-vida hai
ai andaleeb chal ki chale din bahaar ke
yun baad-e-zabt-e-ashk phiroon gird yaar ke
paani piye kisoo pe koi jaise vaar ke
baad-az-vida-e-yaar b-khoon dar tapeeda hain
naqsh-e-qadam hain ham kaf-e-pa-e-nigaar ke
ham mask-e-fikr-e-wasl-o-gham-e-hijr se asad
laayeq nahin rahe hain gham-e-rozgaar ke
सीमाब-पुश्त गर्मी-ए-आईना दे है हम
हैराँ किए हुए हैं दिल-ए-बे-क़रार के
आग़ोश-ए-गुल कुशूदा बरा-ए-विदा है
ऐ अंदलीब चल कि चले दिन बहार के
यूँ बाद-ए-ज़ब्त-ए-अश्क फिरूँ गिर्द यार के
पानी पिए किसू पे कोई जैसे वार के
बाद-अज़-विदा-ए-यार ब-ख़ूँ दर तपीदा हैं
नक़्श-ए-क़दम हैं हम कफ़-ए-पा-ए-निगार के
हम मश्क़-ए-फ़िक्र-ए-वस्ल-ओ-ग़म-ए-हिज्र से 'असद'
लाएक़ नहीं रहे हैं ग़म-ए-रोज़गार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Paani Shayari Shayari