us bazm mein mujhe nahin banti haya kiye
baitha raha agarche ishaare hua kiye
dil hi to hai siyaasat-e-darbaan se dar gaya
main aur jaaun dar se tire bin sada kiye
rakhta phiroon hoon khirka o sajjada rahan-e-may
muddat hui hai daawat aab-o-hawa kiye
be-sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-khizr
hazrat bhi kal kaheinge ki ham kya kiya kiye
maqdoor ho to khaak se poochoon ki ai laeem
tu ne vo ganj-ha-e-graan-maaya kya kiye
kis roz tohmaten na tarasha kiye adoo
kis din hamaare sar pe na aare chala kiye
sohbat mein gair ki na padi ho kahi ye khoo
dene laga hai bosa baghair iltijaa kiye
zid ki hai aur baat magar khoo buri nahin
bhule se us ne saikron wa'de wafa kiye
ghalib tumheen kaho ki milega jawaab kya
maana ki tum kaha kiye aur vo suna kiye
उस बज़्म में मुझे नहीं बनती हया किए
बैठा रहा अगरचे इशारे हुआ किए
दिल ही तो है सियासत-ए-दरबाँ से डर गया
मैं और जाऊँ दर से तिरे बिन सदा किए
रखता फिरूँ हूँ ख़िर्क़ा ओ सज्जादा रहन-ए-मय
मुद्दत हुई है दावत आब-ओ-हवा किए
बे-सर्फ़ा ही गुज़रती है हो गरचे उम्र-ए-ख़िज़्र
हज़रत भी कल कहेंगे कि हम क्या किया किए
मक़्दूर हो तो ख़ाक से पूछूँ कि ऐ लईम
तू ने वो गंज-हा-ए-गराँ-माया क्या किए
किस रोज़ तोहमतें न तराशा किए अदू
किस दिन हमारे सर पे न आरे चला किए
सोहबत में ग़ैर की न पड़ी हो कहीं ये ख़ू
देने लगा है बोसा बग़ैर इल्तिजा किए
ज़िद की है और बात मगर ख़ू बुरी नहीं
भूले से उस ने सैकड़ों वा'दे वफ़ा किए
'ग़ालिब' तुम्हीं कहो कि मिलेगा जवाब क्या
माना कि तुम कहा किए और वो सुना किए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Sharm Shayari Shayari