shauq har rang raqeeb-e-sar-o-samaan nikla | शौक़ हर रंग रक़ीब-ए-सर-ओ-सामाँ निकला

  - Mirza Ghalib

shauq har rang raqeeb-e-sar-o-samaan nikla
qais tasveer ke parde mein bhi uryaan nikla

zakham ne daad na di tangi-e-dil ki ya rab
teer bhi seena-e-bismil se par-afshaan nikla

boo-e-gul naala-e-dil dood-e-charaagh-e-mahfil
jo tiri bazm se nikla so pareshaan nikla

dil-e-hasrat-zada tha maaida-e-lazzat-e-dard
kaam yaaron ka b-qadr-e-lab-o-dandaan nikla

thi nau-aamooz-e-fana himmat-e-dushwaar-pasand
sakht mushkil hai ki ye kaam bhi aasaan nikla

dil mein phir girye ne ik shor uthaya ghalib
aah jo qatra na nikla tha so toofaan nikla

kaar-khaane se junoon ke bhi main uryaan nikla
meri qismat ka na ek-aadh garebaan nikla

saagar-e-jalwa-e-sarshaar hai har zarra-e-khaak
shauq-e-deedaar. bala aaina-samaan nikla

kuchh khatkata tha mere seene mein lekin aakhir
jis ko dil kahte the so teer ka paikaan nikla

kis qadar khaak hua hai dil-e-majnoon ya rab
naqsh-e-har-zarra suwaida-e-bayaabaan nikla

shor-e-ruswaai-e-dil dekh ki yak-naala-e-shauq
laakh parde mein chhupa par wahi uryaan nikla

shokhi-e-rang-e-hina khoon-e-wafa se kab tak
aakhir ai ahd-shikan tu bhi pashemaan nikla

jauhar-eijaad-e-khat-e-sabz hai khud-beeni-e-husn
jo na dekha tha so aaine mein pinhaan nikla

main bhi maazoor-e-junoon hoon asad ai khaana-kharaab
peshwa lene mujhe ghar se biyaabaan nikla

शौक़ हर रंग रक़ीब-ए-सर-ओ-सामाँ निकला
क़ैस तस्वीर के पर्दे में भी उर्यां निकला

ज़ख़्म ने दाद न दी तंगी-ए-दिल की या रब
तीर भी सीना-ए-बिस्मिल से पर-अफ़्शाँ निकला

बू-ए-गुल नाला-ए-दिल दूद-ए-चराग़-ए-महफ़िल
जो तिरी बज़्म से निकला सो परेशाँ निकला

दिल-ए-हसरत-ज़दा था माइदा-ए-लज़्ज़त-ए-दर्द
काम यारों का ब-क़दर-ए-लब-ओ-दंदाँ निकला

थी नौ-आमूज़-ए-फ़ना हिम्मत-ए-दुश्वार-पसंद
सख़्त मुश्किल है कि ये काम भी आसाँ निकला

दिल में फिर गिर्ये ने इक शोर उठाया 'ग़ालिब'
आह जो क़तरा न निकला था सो तूफ़ाँ निकला

कार-ख़ाने से जुनूँ के भी मैं उर्यां निकला
मेरी क़िस्मत का न एक-आध गरेबाँ निकला

साग़र-ए-जल्वा-ए-सरशार है हर ज़र्रा-ए-ख़ाक
शौक़-ए-दीदार बला आइना-सामाँ निकला

कुछ खटकता था मिरे सीने में लेकिन आख़िर
जिस को दिल कहते थे सो तीर का पैकाँ निकला

किस क़दर ख़ाक हुआ है दिल-ए-मजनूँ या रब
नक़्श-ए-हर-ज़र्रा सुवैदा-ए-बयाबाँ निकला

शोर-ए-रुसवाई-ए-दिल देख कि यक-नाला-ए-शौक़
लाख पर्दे में छुपा पर वही उर्यां निकला

शोख़ी-ए-रंग-ए-हिना ख़ून-ए-वफ़ा से कब तक
आख़िर ऐ अहद-शिकन तू भी पशेमाँ निकला

जौहर-ईजाद-ए-ख़त-ए-सब्ज़ है ख़ुद-बीनी-ए-हुस्न
जो न देखा था सो आईने में पिन्हाँ निकला

मैं भी माज़ूर-ए-जुनूँ हूँ 'असद' ऐ ख़ाना-ख़राब
पेशवा लेने मुझे घर से बयाबाँ निकला

  - Mirza Ghalib

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari