muzda ai zauq-e-aseeri ki nazar aata hai | मुज़्दा ऐ ज़ौक़-ए-असीरी कि नज़र आता है - Mirza Ghalib

muzda ai zauq-e-aseeri ki nazar aata hai
daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas

jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na hua
joo-e-khoon hum ne bahaai bun-e-har khaar ke paas

mund gaeein khholte hi khholte aankhen hai hai
khoob waqt aaye tum is aashiq-e-beemaar ke paas

main bhi ruk ruk ke na marta jo zabaan ke badle
dashna ik tez sa hota mere gham-khwaar ke paas

dehan-e-sher mein ja baithe lekin ai dil
na khade ho jiye khooban-e-dil-aazaar ke paas

dekh kar tujh ko chaman bas-ki numoo karta hai
khud-b-khud pahunchen hai gul gosha-e-dastaar ke paas

mar gaya phod ke sar ghalib-e-vahshi hai hai
baithna us ka vo aa kar tiri deewaar ke paas

मुज़्दा ऐ ज़ौक़-ए-असीरी कि नज़र आता है
दाम-ए-ख़ाली क़फ़स-ए-मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार के पास

जिगर-ए-तिश्ना-ए-आज़ार तसल्ली न हुआ
जू-ए-ख़ूँ हम ने बहाई बुन-ए-हर ख़ार के पास

मुँद गईं खोलते ही खोलते आँखें है है
ख़ूब वक़्त आए तुम इस आशिक़-ए-बीमार के पास

मैं भी रुक रुक के न मरता जो ज़बाँ के बदले
दशना इक तेज़ सा होता मिरे ग़म-ख़्वार के पास

दहन-ए-शेर में जा बैठे लेकिन ऐ दिल
न खड़े हो जिए ख़ूबान-ए-दिल-आज़ार के पास

देख कर तुझ को चमन बस-कि नुमू करता है
ख़ुद-ब-ख़ुद पहुँचे है गुल गोशा-ए-दस्तार के पास

मर गया फोड़ के सर ग़ालिब-ए-वहशी है है
बैठना उस का वो आ कर तिरी दीवार के पास

- Mirza Ghalib
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari