huzoor-e-shaah mein ahl-e-sukhan ki aazmaish hai | हुज़ूर-ए-शाह में अहल-ए-सुख़न की आज़माइश है

  - Mirza Ghalib

huzoor-e-shaah mein ahl-e-sukhan ki aazmaish hai
chaman mein khush-nawaayaan-e-chaman ki aazmaish hai

qad o gesu mein qais o kohkan ki aazmaish hai
jahaan ham hain wahan daar-o-rasan ki aazmaish hai

karenge kohkan ke hausale ka imtihaan aakhir
abhi us khasta ke nerwe tan ki aazmaish hai

naseem-e-misr ko kya peer-e-kan'aan ki hawaa-khwaahi
use yusuf ki boo-e-pairhan ki aazmaish hai

vo aaya bazm mein dekho na kahiyo phir ki ghaafil the
shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki aazmaish hai

rahe dil hi mein teer achha jigar ke paar ho behtar
garz shust-e-but-e-naavak-fagan ki aazmaish hai

nahin kuchh subha-o-zunnaar ke fande mein giraai
wafadari mein shaikh o brahman ki aazmaish hai

pada rah ai dil-e-waabasta betaabi se kya haasil
magar phir taab-e-zulf-e-pur-shikan ki aazmaish hai

rag-o-pay mein jab utre zahar-e-gham tab dekhiye kya ho
abhi to talkhi-e-kaam-o-dahan ki aazmaish hai

vo aawenge mere ghar wa'da kaisa dekhna ghalib
naye fitnon mein ab charkh-e-kuhan ki aazmaish hai

हुज़ूर-ए-शाह में अहल-ए-सुख़न की आज़माइश है
चमन में ख़ुश-नवायान-ए-चमन की आज़माइश है

क़द ओ गेसू में क़ैस ओ कोहकन की आज़माइश है
जहाँ हम हैं वहाँ दार-ओ-रसन की आज़माइश है

करेंगे कोहकन के हौसले का इम्तिहान आख़िर
अभी उस ख़स्ता के नेरवे तन की आज़माइश है

नसीम-ए-मिस्र को क्या पीर-ए-कनआँ' की हवा-ख़्वाही
उसे यूसुफ़ की बू-ए-पैरहन की आज़माइश है

वो आया बज़्म में देखो न कहियो फिर कि ग़ाफ़िल थे
शकेब-ओ-सब्र-ए-अहल-ए-अंजुमन की आज़माइश है

रहे दिल ही में तीर अच्छा जिगर के पार हो बेहतर
ग़रज़ शुस्त-ए-बुत-ए-नावक-फ़गन की आज़माइश है

नहीं कुछ सुब्हा-ओ-ज़ुन्नार के फंदे में गीराई
वफ़ादारी में शैख़ ओ बरहमन की आज़माइश है

पड़ा रह ऐ दिल-ए-वाबस्ता बेताबी से क्या हासिल
मगर फिर ताब-ए-ज़ुल्फ़-ए-पुर-शिकन की आज़माइश है

रग-ओ-पय में जब उतरे ज़हर-ए-ग़म तब देखिए क्या हो
अभी तो तल्ख़ी-ए-काम-ओ-दहन की आज़माइश है

वो आवेंगे मिरे घर वा'दा कैसा देखना 'ग़ालिब'
नए फ़ित्नों में अब चर्ख़-ए-कुहन की आज़माइश है

  - Mirza Ghalib

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari