ghuncha-e-naa-shagufta ko door se mat dikha ki yun
bose ko poochta hoon main munh se mujhe bata ki yun
pursish-e-tarz-e-dilbari kijie kya ki bin kahe
us ke har ek ishaare se nikle hai ye ada ki yun
raat ke waqt may piye saath raqeeb ko liye
aaye vo yaa khuda kare par na kare khuda ki yun
gair se raat kya bani ye jo kaha to dekhiye
saamne aan baithna aur ye dekhna ki yun
bazm mein us ke roo-b-roo kyun na khamosh baithiye
us ki to khaamoshi mein bhi hai yahi muddaa ki yun
main ne kaha ki bazm-e-naaz chahiye gair se tahee
sun ke sitam-zareef ne mujh ko utha diya ki yun
mujh se kaha jo yaar ne jaate hain hosh kis tarah
dekh ke meri be-khudi chalne lagi hawa ki yun
kab mujhe ku-e-yaar mein rahne ki waz'a yaad thi
aaina-daar ban gai hairat-e-naqsh-e-paa ki yun
gar tire dil mein ho khayal vasl mein shauq ka zawaal
mauj muheet-e-aab mein maare hai dast-o-pa ki yun
jo ye kahe ki rekhta kyoonke ho rashk-e-faarsi
guftaa-e-'ghalib ek baar padh ke use suna ki yun
ग़ुंचा-ए-ना-शगुफ़्ता को दूर से मत दिखा कि यूँ
बोसे को पूछता हूँ मैं मुँह से मुझे बता कि यूँ
पुर्सिश-ए-तर्ज़-ए-दिलबरी कीजिए क्या कि बिन कहे
उस के हर एक इशारे से निकले है ये अदा कि यूँ
रात के वक़्त मय पिए साथ रक़ीब को लिए
आए वो याँ ख़ुदा करे पर न करे ख़ुदा कि यूँ
ग़ैर से रात क्या बनी ये जो कहा तो देखिए
सामने आन बैठना और ये देखना कि यूँ
बज़्म में उस के रू-ब-रू क्यूँ न ख़मोश बैठिए
उस की तो ख़ामुशी में भी है यही मुद्दआ कि यूँ
मैं ने कहा कि बज़्म-ए-नाज़ चाहिए ग़ैर से तही
सुन के सितम-ज़रीफ़ ने मुझ को उठा दिया कि यूँ
मुझ से कहा जो यार ने जाते हैं होश किस तरह
देख के मेरी बे-ख़ुदी चलने लगी हवा कि यूँ
कब मुझे कू-ए-यार में रहने की वज़्अ याद थी
आइना-दार बन गई हैरत-ए-नक़्श-ए-पा कि यूँ
गर तिरे दिल में हो ख़याल वस्ल में शौक़ का ज़वाल
मौज मुहीत-ए-आब में मारे है दस्त-ओ-पा कि यूँ
जो ये कहे कि रेख़्ता क्यूँके हो रश्क-ए-फ़ारसी
गुफ़्ता-ए-'ग़ालिब' एक बार पढ़ के उसे सुना कि यूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Dushmani Shayari Shayari