shikwe ke naam se be-mehr khafa hota hai | शिकवे के नाम से बे-मेहर ख़फ़ा होता है - Mirza Ghalib

shikwe ke naam se be-mehr khafa hota hai
ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai

pur hoon main shikwe se yun raag se jaise baaja
ik zara chhedie phir dekhiye kya hota hai

go samajhta nahin par husn-e-talaafi dekho
shikwa-e-jaur se sargarm-e-jafaa hota hai

ishq ki raah mein hai charkh-e-makokab ki vo chaal
sust-rau jaise koi aabla-pa hota hai

kyun na thehre hadaf-e-naavak-e-bedad ki hum
aap utha laate hain gar teer khata hota hai

khoob tha pehle se hote jo hum apne bad-khwaah
ki bhala chahte hain aur bura hota hai

naala jaata tha pare arsh se mera aur ab
lab tak aata hai jo aisa hi rasaa hota hai

khaama mera ki vo hai baarbud-e-bazm-e-sukhan
shah ki madh mein yun naghma-saraa hota hai

ai shahanshaah-e-kawaakib sipah-o-mehr-alam
tere ikraam ka haq kis se ada hota hai

saath aqliim ka haasil jo faraham kijeye
to vo lashkar ka tire naal-e-baha hota hai

har maheene mein jo ye badr se hota hai hilaal
aastaan par tire mah naasiyaa sa hota hai

main jo gustaakh hoon aaina-e-ghazal-khwaani mein
ye bhi tera hi karam zauq-faza hota hai

rakhiyo ghalib mujhe is talkh-nawaai mein mua'af
aaj kuch dard mere dil mein siva hota hai

शिकवे के नाम से बे-मेहर ख़फ़ा होता है
ये भी मत कह कि जो कहिए तो गिला होता है

पुर हूँ मैं शिकवे से यूँ राग से जैसे बाजा
इक ज़रा छेड़िए फिर देखिए क्या होता है

गो समझता नहीं पर हुस्न-ए-तलाफ़ी देखो
शिकवा-ए-जौर से सरगर्म-ए-जफ़ा होता है

इश्क़ की राह में है चर्ख़-ए-मकोकब की वो चाल
सुस्त-रौ जैसे कोई आबला-पा होता है

क्यूँ न ठहरें हदफ़-ए-नावक-ए-बेदाद कि हम
आप उठा लाते हैं गर तीर ख़ता होता है

ख़ूब था पहले से होते जो हम अपने बद-ख़्वाह
कि भला चाहते हैं और बुरा होता है

नाला जाता था परे अर्श से मेरा और अब
लब तक आता है जो ऐसा ही रसा होता है

ख़ामा मेरा कि वो है बारबुद-ए-बज़्म-ए-सुख़न
शाह की मद्ह में यूँ नग़्मा-सरा होता है

ऐ शहंशाह-ए-कवाकिब सिपह-ओ-मेहर-अलम
तेरे इकराम का हक़ किस से अदा होता है

सात अक़्लीम का हासिल जो फ़राहम कीजे
तो वो लश्कर का तिरे नाल-ए-बहा होता है

हर महीने में जो ये बद्र से होता है हिलाल
आस्ताँ पर तिरे मह नासिया सा होता है

मैं जो गुस्ताख़ हूँ आईन-ए-ग़ज़ल-ख़्वानी में
ये भी तेरा ही करम ज़ौक़-फ़ज़ा होता है

रखियो 'ग़ालिब' मुझे इस तल्ख़-नवाई में मुआ'फ़
आज कुछ दर्द मिरे दिल में सिवा होता है

- Mirza Ghalib
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari