koi din gar zindagaani aur hai
apne jee mein ham ne thaani aur hai
aatish-e-dozakh mein ye garmi kahaan
soz-e-gham-ha-e-nihaani aur hai
baar-ha dekhi hain un ki ranjishen
par kuchh ab ke sargiraani aur hai
de ke khat munh dekhta hai nama-bar
kuchh to paighaam-e-zabaani aur hai
qaata-e-emaar hai akshar nujoom
vo bala-e-aasmaani aur hai
ho chuki ghalib balaaen sab tamaam
ek marg-e-na-gahaani aur hai
कोई दिन गर ज़िंदगानी और है
अपने जी में हम ने ठानी और है
आतिश-ए-दोज़ख़ में ये गर्मी कहाँ
सोज़-ए-ग़म-हा-ए-निहानी और है
बार-हा देखी हैं उन की रंजिशें
पर कुछ अब के सरगिरानी और है
दे के ख़त मुँह देखता है नामा-बर
कुछ तो पैग़ाम-ए-ज़बानी और है
क़ाता-ए-एमार है अक्सर नुजूम
वो बला-ए-आसमानी और है
हो चुकीं 'ग़ालिब' बलाएँ सब तमाम
एक मर्ग-ए-ना-गहानी और है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Anjam Shayari Shayari