dhota hoon jab main peene ko us seem-tan ke paanv | धोता हूँ जब मैं पीने को उस सीम-तन के पाँव

  - Mirza Ghalib

dhota hoon jab main peene ko us seem-tan ke paanv
rakhta hai zid se kheench ke baahar lagan ke paanv

di saadgi se jaan padhoon kohkan ke paanv
haihaat kyun na toot gaye peer-zan ke paanv

bhaage the ham bahut so usi ki saza hai ye
ho kar aseer daabte hain raahzan ke paanv

marham ki justuju mein fira hoon jo door door
tan se siva figaar hain is khasta-tan ke paanv

allaah-re zauq-e-dasht-navardi ki ba'd-e-marg
hilte hain khud-b-khud mere andar kafan ke paanv

hai josh-e-gul bahaar mein yaa tak ki har taraf
udte hue uljhte hain murgh-e-chaman ke paanv

shab ko kisi ke khwaab mein aaya na ho kahi
dukhte hain aaj us but-e-naazuk-badan ke paanv

ghalib mere kalaam mein kyunkar maza na ho
peeta hoon dhoke khusraw-e-sheereen-sukhan ke paanv

धोता हूँ जब मैं पीने को उस सीम-तन के पाँव
रखता है ज़िद से खींच के बाहर लगन के पाँव

दी सादगी से जान पड़ूँ कोहकन के पाँव
हैहात क्यूँ न टूट गए पीर-ज़न के पाँव

भागे थे हम बहुत सो उसी की सज़ा है ये
हो कर असीर दाबते हैं राहज़न के पाँव

मरहम की जुस्तुजू में फिरा हूँ जो दूर दूर
तन से सिवा फ़िगार हैं इस ख़स्ता-तन के पाँव

अल्लाह-रे ज़ौक़-ए-दश्त-नवर्दी कि बा'द-ए-मर्ग
हिलते हैं ख़ुद-ब-ख़ुद मिरे अंदर कफ़न के पाँव

है जोश-ए-गुल बहार में याँ तक कि हर तरफ़
उड़ते हुए उलझते हैं मुर्ग़-ए-चमन के पाँव

शब को किसी के ख़्वाब में आया न हो कहीं
दुखते हैं आज उस बुत-ए-नाज़ुक-बदन के पाँव

'ग़ालिब' मिरे कलाम में क्यूँकर मज़ा न हो
पीता हूँ धोके ख़ुसरव-ए-शीरीं-सुख़न के पाँव

  - Mirza Ghalib

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari