qafas mein hoon gar achha bhi na jaanen mere shevan ko | क़फ़स में हूँ गर अच्छा भी न जानें मेरे शेवन को

  - Mirza Ghalib

qafas mein hoon gar achha bhi na jaanen mere shevan ko
mera hona bura kya hai nava-sanjaan-e-gulshan ko

nahin gar hamdami aasaan na ho ye rashk kya kam hai
na di hoti khudaaya aarzoo-e-dost dushman ko

na nikla aankh se teri ik aansu us jaraahat par
kiya seene mein jis ne khoon-chakaan mizgaan-e-sozan ko

khuda sharmaae haathon ko ki rakhte hain kashaaksh mein
kabhi mere garebaan ko kabhi jaanaan ke daaman ko

abhi ham qatl-gah ka dekhna aasaan samjhte hain
nahin dekha shanawar joo-e-khoon mein tere tausan ko

hua charcha jo mere paanv ki zanjeer banne ka
kiya betaab kaan mein jumbish-e-jauhar ne aahan ko

khushi kya khet par mere agar sau baar abr aave
samajhta hoon ki dhunde hai abhi se barq khirman ko

wafa-daari b-shart-e-ustuvaari asl eemaan hai
mare but-khaane mein to ka'be mein gaado brahman ko

shahaadat thi meri qismat mein jo di thi ye khoo mujh ko
jahaan talwaar ko dekha jhuka deta tha gardan ko

na lutta din ko to kab raat ko yun be-khabar sota
raha khatka na chori ka dua deta hoon rehzan ko

sukhun kya kah nahin sakte ki juyaa hoon jawaahir ke
jigar kya ham nahin rakhte ki khoden ja ke maadan ko

mere shah-e-sulaiman-jaah se nisbat nahin ghalib
faridoon o jam o ke khusarav o daarab o bahman ko

क़फ़स में हूँ गर अच्छा भी न जानें मेरे शेवन को
मिरा होना बुरा क्या है नवा-संजान-ए-गुलशन को

नहीं गर हमदमी आसाँ न हो ये रश्क क्या कम है
न दी होती ख़ुदाया आरज़ू-ए-दोस्त दुश्मन को

न निकला आँख से तेरी इक आँसू उस जराहत पर
किया सीने में जिस ने ख़ूँ-चकाँ मिज़्गान-ए-सोज़न को

ख़ुदा शरमाए हाथों को कि रखते हैं कशाकश में
कभी मेरे गरेबाँ को कभी जानाँ के दामन को

अभी हम क़त्ल-गह का देखना आसाँ समझते हैं
नहीं देखा शनावर जू-ए-ख़ूँ में तेरे तौसन को

हुआ चर्चा जो मेरे पाँव की ज़ंजीर बनने का
किया बेताब काँ में जुम्बिश-ए-जौहर ने आहन को

ख़ुशी क्या खेत पर मेरे अगर सौ बार अब्र आवे
समझता हूँ कि ढूँडे है अभी से बर्क़ ख़िर्मन को

वफ़ा-दारी ब-शर्त-ए-उस्तुवारी अस्ल ईमाँ है
मरे बुत-ख़ाने में तो का'बे में गाड़ो बरहमन को

शहादत थी मिरी क़िस्मत में जो दी थी ये ख़ू मुझ को
जहाँ तलवार को देखा झुका देता था गर्दन को

न लुटता दिन को तो कब रात को यूँ बे-ख़बर सोता!
रहा खटका न चोरी का दुआ देता हूँ रहज़न को

सुख़न क्या कह नहीं सकते कि जूया हूँ जवाहिर के
जिगर क्या हम नहीं रखते कि खोदें जा के मादन को

मिरे शाह-ए-सुलैमाँ-जाह से निस्बत नहीं 'ग़ालिब'
फ़रीदून ओ जम ओ के ख़ुसरव ओ दाराब ओ बहमन को

  - Mirza Ghalib

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari