ek ek qatre ka mujhe dena pada hisaab | एक एक क़तरे का मुझे देना पड़ा हिसाब - Mirza Ghalib

ek ek qatre ka mujhe dena pada hisaab
khoon-e-jigar vadiat-e-mizgaan-e-yaar tha

ab main hoon aur maatam-e-yak-shahr-aarzoo
toda jo tu ne aaina timsaal-daar tha

galiyon mein meri na'sh ko kheeche firo ki main
jaan-daada-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha

mauj-e-saraab-e-dasht-e-wafa ka na pooch haal
har zarra misl-e-jauhar-e-tegh aab-daar tha

kam jaante the hum bhi gham-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue p gham-e-rozgaar tha

kis ka junoon-e-deed tamanna-shikaar tha
aaina-khaana waadi-e-jauhar-ghubaar tha

kis ka khayal aaina-e-intezaar tha
har burg-e-gul ke parde mein dil be-qaraar tha

jun guncha-o-gul aafat-e-faal-e-nazar na pooch
paikaan se tere jalwa-e-zakhm aashkaar tha

dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-o-nishaat-e-dehr
khamyaza yak-daraazi-e-umr-e-khumaar tha

subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi asad
jis dasht mein vo shokh-e-do-aalam shikaar tha

एक एक क़तरे का मुझे देना पड़ा हिसाब
ख़ून-ए-जिगर वदीअत-ए-मिज़्गान-ए-यार था

अब मैं हूँ और मातम-ए-यक-शहर-आरज़ू
तोड़ा जो तू ने आइना तिमसाल-दार था

गलियों में मेरी ना'श को खींचे फिरो कि मैं
जाँ-दादा-ए-हवा-ए-सर-ए-रहगुज़ार था

मौज-ए-सराब-ए-दश्त-ए-वफ़ा का न पूछ हाल
हर ज़र्रा मिस्ल-ए-जौहर-ए-तेग़ आब-दार था

कम जानते थे हम भी ग़म-ए-इश्क़ को पर अब
देखा तो कम हुए प ग़म-ए-रोज़गार था

किस का जुनून-ए-दीद तमन्ना-शिकार था
आईना-ख़ाना वादी-ए-जौहर-ग़ुबार था

किस का ख़याल आइना-ए-इन्तिज़ार था
हर बर्ग-ए-गुल के पर्दे में दिल बे-क़रार था

जूँ ग़ुंचा-ओ-गुल आफ़त-ए-फ़ाल-ए-नज़र न पूछ
पैकाँ से तेरे जल्वा-ए-ज़ख़्म आश्कार था

देखी वफ़ा-ए-फ़ुर्सत-ए-रंज-ओ-नशात-ए-दहर
ख़म्याज़ा यक-दराज़ी-ए-उम्र-ए-ख़ुमार था

सुब्ह-ए-क़यामत एक दुम-ए-गुर्ग थी 'असद'
जिस दश्त में वो शोख़-ए-दो-आलम शिकार था

- Mirza Ghalib
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari