phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya | फिर मुझे दीदा-ए-तर याद आया

  - Mirza Ghalib

phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tishna-e-faryaad aaya

dam liya tha na qayamat ne hanooz
phir tira waqt-e-safar yaad aaya

saadgi-ha-e-tamanna ya'ni
phir vo nairang-e-nazar yaad aaya

uzr-e-waamaandagi ai hasrat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya

zindagi yun bhi guzar hi jaati
kyun tira raahguzar yaad aaya

kya hi rizwan se ladai hogi
ghar tira khuld mein gar yaad aaya

aah vo jurat-e-faryaadi kahaan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya

phir tire kooche ko jaata hai khayal
dil-e-gum-gashta magar yaad aaya

koi veeraani si veeraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

main ne majnoon pe ladakpan mein asad
sang uthaya tha ki sar yaad aaya

vasl mein hijr ka dar yaad aaya
ain jannat mein saqr yaad aaya

फिर मुझे दीदा-ए-तर याद आया
दिल जिगर तिश्ना-ए-फ़रयाद आया

दम लिया था न क़यामत ने हनूज़
फिर तिरा वक़्त-ए-सफ़र याद आया

सादगी-हा-ए-तमन्ना या'नी
फिर वो नैरंग-ए-नज़र याद आया

उज़्र-ए-वामांदगी ऐ हसरत-ए-दिल
नाला करता था जिगर याद आया

ज़िंदगी यूँ भी गुज़र ही जाती
क्यूँ तिरा राहगुज़र याद आया

क्या ही रिज़वाँ से लड़ाई होगी
घर तिरा ख़ुल्द में गर याद आया

आह वो जुरअत-ए-फ़रियाद कहाँ
दिल से तंग आ के जिगर याद आया

फिर तिरे कूचे को जाता है ख़याल
दिल-ए-गुम-गश्ता मगर याद आया

कोई वीरानी सी वीरानी है
दश्त को देख के घर याद आया

मैं ने मजनूँ पे लड़कपन में 'असद'
संग उठाया था कि सर याद आया

वस्ल में हिज्र का डर याद आया
ऐन जन्नत में सक़र याद आया

  - Mirza Ghalib

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari