diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye | दिया है दिल अगर उस को बशर है क्या कहिए

  - Mirza Ghalib

diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye
hua raqeeb to ho nama-bar hai kya kahiye

ye zid ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamein kis qadar hai kya kahiye

rahe hai yun gah-o-be-gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye

zahe karishma ki yun de rakha hai ham ko fareb
ki bin kahe hi unhen sab khabar hai kya kahiye

samajh ke karte hain bazaar mein vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kya kahiye

tumhein nahin hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
hamaare haath mein kuchh hai magar hai kya kahiye

unhen sawaal pe zoom-e-junoon hai kyun ladie
hamein jawaab se qat-e-nazar hai kya kahiye

hasad sazaa-e-kamaal-e-sukhan hai kya kijeye
sitam baha-e-mataa-e-hunar hai kya kahiye

kaha hai kis ne ki ghalib bura nahin lekin
sivaae is ke ki aashufta-sar hai kya kahiye

दिया है दिल अगर उस को बशर है क्या कहिए
हुआ रक़ीब तो हो नामा-बर है क्या कहिए

ये ज़िद कि आज न आवे और आए बिन न रहे
क़ज़ा से शिकवा हमें किस क़दर है क्या कहिए

रहे है यूँ गह-ओ-बे-गह कि कू-ए-दोस्त को अब
अगर न कहिए कि दुश्मन का घर है क्या कहिए

ज़हे करिश्मा कि यूँ दे रक्खा है हम को फ़रेब
कि बिन कहे ही उन्हें सब ख़बर है क्या कहिए

समझ के करते हैं बाज़ार में वो पुर्सिश-ए-हाल
कि ये कहे कि सर-ए-रहगुज़र है क्या कहिए

तुम्हें नहीं है सर-ए-रिश्ता-ए-वफ़ा का ख़याल
हमारे हाथ में कुछ है मगर है क्या कहिए

उन्हें सवाल पे ज़ोम-ए-जुनूँ है क्यूँ लड़िए
हमें जवाब से क़त-ए-नज़र है क्या कहिए

हसद सज़ा-ए-कमाल-ए-सुख़न है क्या कीजे
सितम बहा-ए-मता-ए-हुनर है क्या कहिए

कहा है किस ने कि 'ग़ालिब' बुरा नहीं लेकिन
सिवाए इस के कि आशुफ़्ता-सर है क्या कहिए

  - Mirza Ghalib

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari