saraapa rehn-ishq-o-na-guzir-ulfat-hasti | सरापा रेहन-इश्क़-ओ-ना-गुज़ीर-उल्फ़त-हस्ती

  - Mirza Ghalib

saraapa rehn-ishq-o-na-guzir-ulfat-hasti
ibadat barq ki karta hoon aur afsos haasil ka

ba-qadr-e-zarf hai saaqi khumaar-e-tishna-kaami bhi
jo tu daryaa-e-mai hai to main khamyaza hoon saahil ka

zi-bas khoon-gusht-e-rashk-e-wafa tha vaham bismil ka
churaaya zakhm-ha-e-dil ne paani tegh-e-qaatil ka

nigaah-e-chashm-e-haasid waam le ai zauq-e-khud-beeni
tamaashaai hoon vahdat-khaana-e-aaina-e-dil ka

sharar-fursat nigaah saamaan-e-yak-aalam charaaghaan hai
b-qadr-e-rang yaa gardish mein hai paimaana mehfil ka

saraasar taakhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulaan tha
hua waamaandagi se rah-ravaan ki farq manzil ka

mujhe raah-e-sukhan mein khauf-e-gum-raahi nahin ghalib
asa-e-khizr-e-sehra-e-sukhan hai khaama be-dil ka

सरापा रेहन-इश्क़-ओ-ना-गुज़ीर-उल्फ़त-हस्ती
इबादत बर्क़ की करता हूँ और अफ़्सोस हासिल का

ब-क़द्र-ए-ज़र्फ़ है साक़ी ख़ुमार-ए-तिश्ना-कामी भी
जो तू दरिया-ए-मै है तो मैं ख़म्याज़ा हूँ साहिल का

ज़ि-बस खूँ-गश्त-ए-रश्क-ए-वफ़ा था वहम बिस्मिल का
चुराया ज़ख़्म-हा-ए-दिल ने पानी तेग़-ए-क़ातिल का

निगाह-ए-चश्म-ए-हासिद वाम ले ऐ ज़ौक़-ए-ख़ुद-बीनी
तमाशाई हूँ वहदत-ख़ाना-ए-आईना-ए-दिल का

शरर-फ़ुर्सत निगह सामान-ए-यक-आलम चराग़ाँ है
ब-क़द्र-ए-रंग याँ गर्दिश में है पैमाना महफ़िल का

सरासर ताख़तन को शश-जिहत यक-अर्सा जौलाँ था
हुआ वामांदगी से रह-रवाँ की फ़र्क़ मंज़िल का

मुझे राह-ए-सुख़न में ख़ौफ़-ए-गुम-राही नहीं ग़ालिब
असा-ए-ख़िज़्र-ए-सहरा-ए-सुख़न है ख़ामा बे-दिल का

  - Mirza Ghalib

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari