masti b-zauq-e-ghaflat-e-saaki halaak hai
mauj-e-sharaab yak-miza-e-khwaab-naak hai
juz zakhm-e-tegh-e-naaz nahin dil mein aarzoo
jeb-e-khyaal bhi tire haathon se chaak hai
josh-e-junoon se kuchh nazar aata nahin asad
sehra hamaari aankh mein yak-musht-e-khaak. hai
मस्ती ब-ज़ौक़-ए-ग़फ़लत-ए-साक़ी हलाक है
मौज-ए-शराब यक-मिज़ा-ए-ख़्वाब-नाक है
जुज़ ज़ख्म-ए-तेग़-ए-नाज़ नहीं दिल में आरज़ू
जेब-ए-ख़याल भी तिरे हाथों से चाक है
जोश-ए-जुनूँ से कुछ नज़र आता नहीं 'असद'
सहरा हमारी आँख में यक-मुश्त-ए-ख़ाक है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aankhein Shayari Shayari