rukh-e-nigaar se hai soz-e-jaavedaani-e-sham'a
hui hai aatish-e-gul aab-e-zindagaani-e-sham'a
zabaan-e-ahl-e-zabaan mein hai marg-e-khaamoshi
ye baat bazm mein raushan hui zabaani-e-sham'a
kare hai sarf b-eimaa-e-sho'la qissa tamaam
b-tarz-e-ahl-e-fana hai fasaana-khwaani-e-sham'a
gham us ko hasrat-e-parwaana ka hai ai sholay
tire larzne se zaahir hai na-tawaani-e-sham'a
tire khayal se rooh ehtijaaz karti hai
b-jalwa-rezi-e-baad-o-b-par-fishaani-e-sham'a
nashaat-e-daagh-e-gham-e-ishq ki bahaar na pooch
shaguftagi hai shaheed-e-gul-e-khizaani-e-sham'a
jale hai dekh ke baaleen-e-yaar par mujh ko
na kyun ho dil pe mere daagh-e-bad-gumaani-e-sham'a
रुख़-ए-निगार से है सोज़-ए-जावेदानी-ए-शमअ'
हुई है आतिश-ए-गुल आब-ए-ज़ि़ंदगानी-ए-शमअ'
ज़बान-ए-अहल-ए-ज़बाँ में है मर्ग-ए-ख़ामोशी
ये बात बज़्म में रौशन हुई ज़बानी-ए-शमअ'
करे है सर्फ़ ब-ईमा-ए-शो'ला क़िस्सा तमाम
ब-तर्ज़-ए-अहल-ए-फ़ना है फ़साना-ख़्वानी-ए-शमअ'
ग़म उस को हसरत-ए-परवाना का है ऐ शो'ले
तिरे लरज़ने से ज़ाहिर है ना-तवानी-ए-शमअ'
तिरे ख़याल से रूह एहतिज़ाज़ करती है
ब-जल्वा-रेज़ी-ए-बाद-ओ-ब-पर-फ़िशानी-ए-शमअ'
नशात-ए-दाग़-ए-ग़म-ए-इश्क़ की बहार न पूछ
शगुफ़्तगी है शहीद-ए-गुल-ए-खिज़ानी-ए-शमअ'
जले है देख के बालीन-ए-यार पर मुझ को
न क्यूँ हो दिल पे मिरे दाग़-ए-बद-गुमानी-ए-शमअ'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari