bala se hain jo ye peshe-e-nazar dar-o-deewar
nigaah-e-shauq ko hain baal-o-par dar-o-deewar
wufoor-e-ashk ne kaashaane ka kiya ye rang
ki ho gaye mere deewar-o-dar dar-o-deewar
nahin hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yaar
gaye hain chand qadam pesh-tar dar-o-deewar
hui hai kis qadar arzaani-e-may-e-jalwa
ki mast hai tire kooche mein har dar-o-deewar
jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intizaar to aa
ki hain dukaan-e-mata-e-nazar dar-o-deewar
hujoom-e-giryaa ka samaan kab kiya main ne
ki gir pade na mere paanv par dar-o-deewar
vo aa raha mere ham-saaye mein to saaye se
hue fida dar-o-deewar par dar-o-deewar
nazar mein khatke hai bin tere ghar ki aabaadi
hamesha rote hain ham dekh kar dar-o-deewar
na pooch be-khudi-e-aish-e-maqdam-e-sailaab
ki naachte hain pade sar-b-sar dar-o-deewar
na kah kisi se ki ghalib nahin zamaane mein
hareef-e-raaz-e-mohabbat magar dar-o-deewar
बला से हैं जो ये पेश-ए-नज़र दर-ओ-दीवार
निगाह-ए-शौक़ को हैं बाल-ओ-पर दर-ओ-दीवार
वुफ़ूर-ए-अश्क ने काशाने का किया ये रंग
कि हो गए मिरे दीवार-ओ-दर दर-ओ-दीवार
नहीं है साया कि सुन कर नवेद-ए-मक़दम-ए-यार
गए हैं चंद क़दम पेश-तर दर-ओ-दीवार
हुई है किस क़दर अर्ज़ानी-ए-मय-ए-जल्वा
कि मस्त है तिरे कूचे में हर दर-ओ-दीवार
जो है तुझे सर-ए-सौदा-ए-इन्तिज़ार तो आ
कि हैं दुकान-ए-मता-ए-नज़र दर-ओ-दीवार
हुजूम-ए-गिर्या का सामान कब किया मैं ने
कि गिर पड़े न मिरे पाँव पर दर-ओ-दीवार
वो आ रहा मिरे हम-साए में तो साए से
हुए फ़िदा दर-ओ-दीवार पर दर-ओ-दीवार
नज़र में खटके है बिन तेरे घर की आबादी
हमेशा रोते हैं हम देख कर दर-ओ-दीवार
न पूछ बे-ख़ुदी-ए-ऐश-ए-मक़दम-ए-सैलाब
कि नाचते हैं पड़े सर-ब-सर दर-ओ-दीवार
न कह किसी से कि 'ग़ालिब' नहीं ज़माने में
हरीफ़-ए-राज़-ए-मोहब्बत मगर दर-ओ-दीवार
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aankhein Shayari Shayari