maze jahaan ke apni nazar mein khaak nahin | मज़े जहान के अपनी नज़र में ख़ाक नहीं

  - Mirza Ghalib

maze jahaan ke apni nazar mein khaak nahin
sivaae khoon-e-jigar so jigar mein khaak nahin

magar ghubaar hue par hawa uda le jaaye
wagarana taab o tavaan baal-o-par mein khaak nahin

ye kis behisht-shamaail ki aamad aamad hai
ki ghair-e-jalwa-e-gul raahguzaar mein khaak nahin

bhala use na sahi kuchh mujhi ko rehm aata
asar mere nafs-e-be-asar mein khaak nahin

khayaal-e-jalwa-e-gul se kharab hain may-kash
sharaab-khaane ke deewar-o-dar mein khaak nahin

hua hoon ishq ki gharaat-gari se sharminda
sivaae hasrat-e-taameer ghar mein khaak nahin

hamaare sher hain ab sirf dil-lagi ke asad
khula ki faaeda arz-e-hunar mein khaak nahin

मज़े जहान के अपनी नज़र में ख़ाक नहीं
सिवाए ख़ून-ए-जिगर सो जिगर में ख़ाक नहीं

मगर ग़ुबार हुए पर हवा उड़ा ले जाए
वगरना ताब ओ तवाँ बाल-ओ-पर में ख़ाक नहीं

ये किस बहिश्त-शमाइल की आमद आमद है
कि ग़ैर-ए-जल्वा-ए-गुल रहगुज़र में ख़ाक नहीं

भला उसे न सही कुछ मुझी को रहम आता
असर मिरे नफ़स-ए-बे-असर में ख़ाक नहीं

ख़याल-ए-जल्वा-ए-गुल से ख़राब हैं मय-कश
शराब-ख़ाने के दीवार-ओ-दर में ख़ाक नहीं

हुआ हूँ इश्क़ की ग़ारत-गरी से शर्मिंदा
सिवाए हसरत-ए-तामीर घर में ख़ाक नहीं

हमारे शेर हैं अब सिर्फ़ दिल-लगी के 'असद'
खुला कि फ़ाएदा अर्ज़-ए-हुनर में ख़ाक नहीं

  - Mirza Ghalib

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari