dafn apni mitti mein hona tha mujhe | दफ़्न अपनी मिट्टी में होना था मुझे

  - Ankur Mishra

dafn apni mitti mein hona tha mujhe
ek din apni tarah lagana tha mujhe

chal pada main thaam kar uska haath phir
door jiski chhaon se jaana tha mujhe

baagbaan hairaan tha khud ye dekhkar
soch kitna aur murjhana tha mujhe

zakhm taaza hai abhi bhi vo jism pe
raabta khud se nahin rakhna tha mujhe

mar gaya ankur jawaani mein isliye
sauda dono aankhon ka karna tha mujhe

दफ़्न अपनी मिट्टी में होना था मुझे
एक दिन अपनी तरह लगना था मुझे

चल पड़ा मैं थाम कर उसका हाथ फिर
दूर जिसकी छाॅंव से जाना था मुझे

बाग़बाॅं हैरान था ख़ुद ये देखकर
सोच कितना और मुर्झाना था मुझे

ज़ख़्म ताज़ा है अभी भी वो जिस्म पे
राब्ता ख़ुद से नहीं रखना था मुझे

मर गया अंकुर जवानी में इसलिए
सौदा दोनों आँखों का करना था मुझे

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari