dekh kar jisko lage saara jahaan ho | देख कर जिसको लगे सारा जहाँ हो

  - Ankur Mishra

dekh kar jisko lage saara jahaan ho
aisa kuchh bhi to nahin jis par gumaan ho

ho hi jaata hai guzaara sabka aakhir
ye zaroori to nahin kuchh darmiyaan ho

ek chhat hi kaafi hai rahne ko sar pe
hisse mein itna to sabke aasmaan ho

aate jaate chehra vo aaye nazar bhi
us gali mein ek apna bhi makaan ho

theek hai mushkil hai yaadon se nikalna
par wafa karte raho ankur jahaan ho

देख कर जिसको लगे सारा जहाँ हो
ऐसा कुछ भी तो नहीं जिस पर गुमाँ हो

हो ही जाता है गुज़ारा सबका आख़िर
ये ज़रूरी तो नहीं कुछ दरमियाँ हो

एक छत ही काफ़ी है रहने को सर पे
हिस्से में इतना तो सबके आसमाँ हो

आते जाते चेहरा वो आए नज़र भी
उस गली में एक अपना भी मकाँ हो

ठीक है मुश्किल है यादों से निकलना
पर वफ़ा करते रहो 'अंकुर' जहाँ हो

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari