kahin se to koii ab raushni aaye
meri aaghosh mein bhi vo kabhi aaye
hoon banjar main bhi apni dono aankhon sa
kaho phir hothon pe kaise hasi aaye
nazar bhar bhi kabhi dekha nahin jisko
dua hai vo kabhi teri gali aaye
isi ummeed pe chhodaa tha ghar maine
nazar shaayad use haalat meri aaye
yun to sab theek hai vaise magar ankur
hai koshish bas kahin se vo chali aaye
कहीं से तो कोई अब रौशनी आए
मिरी आग़ोश में भी वो कभी आए
हूँ बंजर मैं भी अपनी दोनों आँखों सा
कहो फिर होठों पे कैसे हँसी आए
नज़र भर भी कभी देखा नहीं जिसको
दुआ है वो कभी तेरी गली आए
इसी उम्मीद पे छोड़ा था घर मैंने
नज़र शायद उसे हालत मिरी आए
यूँ तो सब ठीक है वैसे मगर 'अंकुर'
है कोशिश बस कहीं से वो चली आए
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari