haal-e-dil kah nahin sakte
saath tere bah nahin sakte
chhod di hai may-kashi hamne
tanhaa ham ab rah nahin sakte
barson dekha rasta tera par
aur zillat sah nahin sakte
kar liya hai ishq khud se ab
door ghar se rah nahin sakte
हाल-ए-दिल कह नहीं सकते
साथ तेरे बह नहीं सकते
छोड़ दी है मय-कशी हमने
तन्हा हम अब रह नहीं सकते
बरसों देखा रस्ता तेरा पर
और ज़िल्लत सह नहीं सकते
कर लिया है इश्क़ ख़ुद से अब
दूर घर से रह नहीं सकते
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari