har-soo vo chehra nazar aaye
dekh jisko aankh bhar aaye
tang hai maana gali lekin
ghar mere bhi to sehar aaye
khairiyat mat poocho meri par
uski to koii khabar aaye
thak gai hain aankhen meri ab
vo zameen ab to nazar aaye
rakh sakoon kaandhe pe sar jiske
laut ab to vo bashar aaye
हर-सू वो चेहरा नज़र आए
देख जिसको आँख भर आए
तंग है माना गली लेकिन
घर मिरे भी तो सहर आए
ख़ैरियत मत पूछो मेरी पर
उसकी तो कोई ख़बर आए
थक गई हैं आँखें मेरी अब
वो ज़मीं अब तो नज़र आए
रख सकूँ काँधे पे सर जिसके
लौट अब तो वो बशर आए
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari