is tarah se usko hamne yaad rakkha hai
baad uske khud ko ab barbaad rakkha hai
jaanta hoon mera vo ab ho nahin saktaa
phir bhi sabko maine uske baad rakkha hai
qaid mein ik umr guzri hai meri phir bhi
ashkon ko maine sabhi azaad rakkha hai
usko to main yaad bhi aata nahin lekin
saanson mein maine use aabaad rakkha hai
jaane phir kab aa mile vo mujhse dobara
seene pe dil ko tabhi ab laad rakkha hai
इस तरह से उसको हमने याद रक्खा है
बाद उसके ख़ुद को अब बर्बाद रक्खा है
जानता हूँ मेरा वो अब हो नहीं सकता
फिर भी सबको मैंने उसके बाद रक्खा है
क़ैद में इक उम्र गुज़री है मिरी फिर भी
अश्कों को मैंने सभी आज़ाद रक्खा है
उसको तो मैं याद भी आता नहीं लेकिन
साँसों में मैंने उसे आबाद रक्खा है
जाने फिर कब आ मिले वो मुझसे दोबारा
सीने पे दिल को तभी अब लाद रक्खा है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari