use bhi kisi se mohabbat nahin
hamein bhi hamaari zaroorat nahin
bikharne lage hain meri aankh se
vo moti mujhe jinki chaahat nahin
iraada tha kuchh aur mera magar
vo kehta hai achhi ye aadat nahin
labon se labon pe ho dastak koii
gale se lagana mohabbat nahin
shab-e-hijr bhi ye guzar jaayegi
mujhe tujhse koii shikaayat nahin
kabhi thi tamannaa mujhe bhi tiri
magar ab kisi kii zaroorat nahin
उसे भी किसी से मोहब्बत नहीं
हमें भी हमारी ज़रूरत नहीं
बिखरने लगे हैं मिरी आँख से
वो मोती मुझे जिनकी चाहत नहीं
इरादा था कुछ और मेरा मगर
वो कहता है अच्छी ये आदत नहीं
लबों से लबों पे हो दस्तक कोई
गले से लगाना मोहब्बत नहीं
शब-ए-हिज्र भी ये गुज़र जाएगी
मुझे तुझसे कोई शिकायत नहीं
कभी थी तमन्ना मुझे भी तिरी
मगर अब किसी की ज़रूरत नहीं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari