kar raha tha talaash-e-sukoon main
isliye aaj bhi tanhaa hoon main
ek arsa hua khud se bichhde
aur kitni wafa ab karoon main
dekh lo ab to ik baar mud ke
khat tumhein aur kitne likhoon main
shaam bhi kab kii vo dhal chuki hai
laut aao ki ab mar sakoon main
muddaton se hoon pyaasa main ankur
saath ashkon ke kitna rahoon main
कर रहा था तलाश-ए-सुकूँ मैं
इसलिए आज भी तन्हा हूँ मैं
एक अरसा हुआ ख़ुद से बिछड़े
और कितनी वफ़ा अब करूँ मैं
देख लो अब तो इक बार मुड़ के
ख़त तुम्हें और कितने लिखूँ मैं
शाम भी कब की वो ढल चुकी है
लौट आओ कि अब मर सकूँ मैं
मुद्दतों से हूँ प्यासा मैं 'अंकुर'
साथ अश्कों के कितना रहूँ मैं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari