khaali kamra raushni deewaar se
main bhi darta hoon firaq-e-yaar se
bewafa kah to diya sabne magar
haal koii pooche is beemaar se
botlo mein band hai qismat meri
ranj hai mujhko meri talwaar se
muddaton se qaid hoon main khud mein hi
lag rahi hai chot qalb-e-zaar se
shauq tha jaanaan kabhi mujhko bhi par
thak gaya hoon ab main bhi is pyaar se
ख़ाली कमरा रौशनी दीवार से
मैं भी डरता हूँ फ़िराक़-ए-यार से
बेवफ़ा कह तो दिया सबने मगर
हाल कोई पूछे इस बीमार से
बोतलो में बंद है क़िस्मत मिरी
रंज है मुझको मिरी तलवार से
मुद्दतों से क़ैद हूँ मैं ख़ुद में ही
लग रही है चोट क़ल्ब-ए-ज़ार से
शौक़ था जानाँ कभी मुझको भी पर
थक गया हूँ अब मैं भी इस प्यार से
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari