zakhm jitne the aakhir mein bhar hi gaye | ज़ख़्म जितने थे आख़िर में भर ही गए

  - Ankur Mishra

zakhm jitne the aakhir mein bhar hi gaye
din vo bhi muflisi ke guzar hi gaye

yaad aata hai vo ghar vo chaukhat magar
paar dahleez phir bhi vo kar hi gaye

theek hai ham nahin dariya lekin use
aankhon se rooh tak yaar bhar hi gaye

chot gahri thi jo de gaya vo hamein
yaadon se phir bhi uski ubhar hi gaye

bante bante tamasha mohabbat mein ham
ek din baahon mein uski mar hi gaye

ज़ख़्म जितने थे आख़िर में भर ही गए
दिन वो भी मुफ़्लिसी के गुज़र ही गए

याद आता है वो घर वो चौखट मगर
पार दहलीज़ फिर भी वो कर ही गए

ठीक है हम नहीं दरिया लेकिन उसे
आँखों से रूह तक यार भर ही गए

चोट गहरी थी जो दे गया वो हमें
यादों से फिर भी उसकी उभर ही गए

बनते बनते तमाशा मोहब्बत में हम
एक दिन बाहों में उसकी मर ही गए

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari