har ik jhonka nukeela ho gaya hai | हर इक झोंका नुकीला हो गया है - Mohammad Alvi

har ik jhonka nukeela ho gaya hai
fazaa ka rang neela ho gaya hai

abhi do chaar hi boonden gireen hain
magar mausam nasheela ho gaya hai

karein kya dil usi ko maangtaa hai
ye saala bhi hateela ho gaya hai

khabar kya thi ki neki baanjh hogi
badi ka to qabeela ho gaya hai

khuda rakhe jawaani aa gai hai
gunah baanka-sajeela ho gaya hai

na jaane chat pe kya dekha tha alvee
bechaara chaand peela ho hai

हर इक झोंका नुकीला हो गया है
फ़ज़ा का रंग नीला हो गया है

अभी दो चार ही बूंदें गिरीं हैं
मगर मौसम नशीला हो गया है

करें क्या दिल उसी को मांगता है
ये साला भी हटीला हो गया है

ख़बर क्या थी कि नेकी बांझ होगी
बदी का तो क़बीला हो गया है

ख़ुदा रक्खे जवानी आ गई है
गुनह बांका-सजीला हो गया है

न जाने छत पे क्या देखा था 'अल्वी'
बेचारा चांद पीला हो है

- Mohammad Alvi
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Alvi

As you were reading Shayari by Mohammad Alvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Alvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari