har ek shab yoonhi dekhengi soo-e-dar aankhen
tujhe ganwa ke na soengi umr-bhar aankhen
tuloo-e-subh se pehle hi bujh na jaayen kahi
ye dast-e-shab mein sitaaron ki hum-safar aankhen
sitam ye kam to nahin dil giriftagi ke liye
main shehar bhar mein akela idhar-udhar aankhen
shumaar us ki sakhaawat ka kya karein ki vo shakhs
charaagh baantaa firta hai cheen kar aankhen
main zakham zakham hua jab to mujh pe bhed khula
ki pattharon ko samjhti raheen guhar aankhen
main apne ashk sambhaalunga kab talak mohsin
zamaana sang-b-kaf hai to sheeshaagar aankhen
हर एक शब यूँही देखेंगी सू-ए-दर आँखें
तुझे गँवा के न सोएँगी उम्र-भर आँखें
तुलू-ए-सुब्ह से पहले ही बुझ न जाएँ कहीं
ये दश्त-ए-शब में सितारों की हम-सफ़र आँखें
सितम ये कम तो नहीं दिल गिरफ़्तगी के लिए
मैं शहर भर में अकेला इधर-उधर आँखें
शुमार उस की सख़ावत का क्या करें कि वो शख़्स
चराग़ बाँटता फिरता है छीन कर आँखें
मैं ज़ख़्म ज़ख़्म हुआ जब तो मुझ पे भेद खुला
कि पत्थरों को समझती रहीं गुहर आँखें
मैं अपने अश्क सँभालूँगा कब तलक 'मोहसिन'
ज़माना संग-ब-कफ़ है तो शीशागर आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Gaon Shayari Shayari