mujhe ab dar nahin lagta | "मुझे अब डर नहीं लगता"

  - Mohsin Naqvi

mujhe ab dar nahin lagta

kisi ke door jaane se
ta'alluq toot jaane se
kisi ke maan jaane se
kisi ke rooth jaane se
mujhe ab dar nahin lagta
kisi ko aazmaane se
kisi ke aazmaane se
kisi ko yaad rakhne se
kisi ko bhool jaane se
mujhe ab dar nahin lagta
kisi ko chhod dene se
kisi ke chhod jaane se
na sham'a ko jalane se
na sham'a ko bujhaane se
mujhe ab dar nahin lagta
akela muskuraane se
kabhi aansu bahaane se
na is saare zamaane se
haqeeqat se fasaane se
mujhe ab dar nahin lagta
kisi kii na-rasaai se
kisi kii paarsaai se
kisi kii bewafaai se
kisi dukh intihaai se
mujhe ab dar nahin lagta
na to is paar rahne se
na to us paar rahne se
na apni zindagaani se
na ik din maut aane se
mujhe ab dar nahin lagta

"मुझे अब डर नहीं लगता"

किसी के दूर जाने से
तअ'ल्लुक़ टूट जाने से
किसी के मान जाने से
किसी के रूठ जाने से
मुझे अब डर नहीं लगता
किसी को आज़माने से
किसी के आज़माने से
किसी को याद रखने से
किसी को भूल जाने से
मुझे अब डर नहीं लगता
किसी को छोड़ देने से
किसी के छोड़ जाने से
न शम्अ' को जलाने से
न शम्अ' को बुझाने से
मुझे अब डर नहीं लगता
अकेले मुस्कुराने से
कभी आँसू बहाने से
न इस सारे ज़माने से
हक़ीक़त से फ़साने से
मुझे अब डर नहीं लगता
किसी की ना-रसाई से
किसी की पारसाई से
किसी की बेवफ़ाई से
किसी दुख इंतिहाई से
मुझे अब डर नहीं लगता
न तो इस पार रहने से
न तो उस पार रहने से
न अपनी ज़िंदगानी से
न इक दिन मौत आने से
मुझे अब डर नहीं लगता

  - Mohsin Naqvi

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari