tumhaara zikr agar chhed du fasaane mein | तुम्हारा ज़िक्र अगर छेड़ दु फसाने में

  - Moin Hasan

tumhaara zikr agar chhed du fasaane mein
izaafa hota rahega mere khazaame mein

koii bhi teer nahin lag raha nishaane par
koii na koii kharaabi hain is nishaane mein

khayaal aate hain mazmoon baandh jaate hain
ghazal panpati hain misre ko gungunaane mein

tamaam kaam sahoolat se ho rahe hain dost
laga di hain tiri tasveer kaarkhaane mein

abhi to phone se number nahin mitaaya hain
abhi to waqt lagega use bhulaane mein

suna tha saath bashar ek jaise hote hain
magar vo yaktaa nazar aata hain zamaane mein

tira mizaaz bhi thoda sa talkh lagta hain
namak bhi zaada pada aaj tujhse khaane mein

तुम्हारा ज़िक्र अगर छेड़ दु फसाने में
इज़ाफ़ा होता रहेगा मिरे खज़ामे में

कोई भी तीर नहीं लग रहा निशाने पर
कोई न कोई खराबी हैं इस निशाने में

ख़याल आते हैं , मज़मून बांध जाते हैं
ग़ज़ल पनपती हैं मिसरे को गुनगुनाने में

तमाम काम सहूलत से हो रहे हैं दोस्त
लगा दी हैं तिरी तस्वीर कारखाने में

अभी तो फ़ोन से नंबर नहीं मिटाया हैं
अभी तो वक़्त लगेगा उसे भुलाने में

सुना था सात बशर एक जैसे होते हैं
मगर वो यकता नज़र आता हैं ज़माने में

तिरा मिज़ाज़ भी थोड़ा सा तल्ख़ लगता हैं
नमक भी ज़ादा पड़ा आज तुझसे खाने में

  - Moin Hasan

More by Moin Hasan

As you were reading Shayari by Moin Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Moin Hasan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari