roya karenge aap bhi paharon isee tarah | रोया करेंगे आप भी पहरों इसी तरह

  - Momin Khan Momin

roya karenge aap bhi paharon isee tarah
atka kahi jo aap ka dil bhi meri tarah

aata nahin hai vo to kisi dhab se daav mein
banti nahin hai milne ki us ke koi tarah

tashbeeh kis se doon ki tarh-daar ki mere
sab se niraali waz'a hai sab se nayi tarah

mar chuk kahi ki tu gham-e-hijraan se chhoot jaaye
kahte to hain bhale ki v-lekin buri tarah

ne taab hijr mein hai na aaraam vasl mein
kam-bakht dil ko chain nahin hai kisi tarah

lagti hain gaaliyaan bhi tire munh se kya bhali
qurbaan tere phir mujhe kah le usi tarah

paamaal ham na hote faqat jaur-e-charkh se
aayi hamaari jaan pe aafat kai tarah

ne jaaye waan bane hai na bin jaaye chain hai
kya kijie hamein to hai mushkil sabhi tarah

ma'shooq aur bhi hain bata de jahaan mein
karta hai kaun zulm kisi par tiri tarah

hoon jaan-b-lab butan-e-sitamgar ke haath se
kya sab jahaan mein jeete hain mumin isee tarah

रोया करेंगे आप भी पहरों इसी तरह
अटका कहीं जो आप का दिल भी मिरी तरह

आता नहीं है वो तो किसी ढब से दाव में
बनती नहीं है मिलने की उस के कोई तरह

तश्बीह किस से दूँ कि तरह-दार की मिरे
सब से निराली वज़्अ है सब से नई तरह

मर चुक कहीं कि तू ग़म-ए-हिज्राँ से छूट जाए
कहते तो हैं भले की व-लेकिन बुरी तरह

ने ताब हिज्र में है न आराम वस्ल में
कम-बख़्त दिल को चैन नहीं है किसी तरह

लगती हैं गालियाँ भी तिरे मुँह से क्या भली
क़ुर्बान तेरे फिर मुझे कह ले उसी तरह

पामाल हम न होते फ़क़त जौर-ए-चर्ख़ से
आई हमारी जान पे आफ़त कई तरह

ने जाए वाँ बने है न बिन जाए चैन है
क्या कीजिए हमें तो है मुश्किल सभी तरह

मा'शूक़ और भी हैं बता दे जहान में
करता है कौन ज़ुल्म किसी पर तिरी तरह

हूँ जाँ-ब-लब बुतान-ए-सितमगर के हाथ से
क्या सब जहाँ में जीते हैं 'मोमिन' इसी तरह

  - Momin Khan Momin

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Momin Khan Momin

As you were reading Shayari by Momin Khan Momin

Similar Writers

our suggestion based on Momin Khan Momin

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari